Bajuz Khwaja Tasawwur Me Koi Ab Aa Nahi Sakta

Bajuz Khwaja tasawwur mein koi ab aa nahi sakta
Khayal ghair mere dil pe hargiz chaa nahi sakta

Mila hai mil raha hai aur milega to usi dar se
Mere Khwaja teri chaukhat se khali jaa nahi sakta

Guzarte hain jo sadme rozo shab mere dil par
Samjh lije ise khud aap main samjha nahi sakta

Tumhi mere Masiha mere Maawa mere Malja ho
Tumhara chchod kar dar aur dar par jaa nahi sakta

Bhala bulwa ke mehmanon se karta hai koi parda
Samajh mein ye nirala sa tareeka aa nahi sakta

Gada mashoor hoon khwaja ka kehte hain mujhe Sayyid
Kisi ke aage apna haath main faila nahi sakta

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x