Bazme Mahboob Sajane Mein Maza Aata Hai

Bazme Mahboob Sajane Mein Maza Aata Hai,
Naat sun’ne suna’ne main maza aata hai.

Bazme Mahboob Sajane Mein Maza Aata Hai…

Ba’wudu ho kay duroodon mein baha ker aansoo,
Hal e dil unko sunanay mein maza aata hai.

Bazm e Mehboob Sajane Mein Maza Aata Hai…

Shahi khanoon say woh kertay hain ziafat aesi,
Tukray darbar kay khanay main maza ata hai.

Bazme Mahboob Sajanay Mein Maza Aata Hai…

Darta rehta houn tamasha na bana lay duniya,
Aansoo chup chup kay bahanay mein maza ata hai.

Bazme Mahboob Sajanay Main Maza Aata Hai…

Lootnay waloon ko aaya hai na aaye ga kabhi,
Joh faqeeron ko lutanay mein maza aata hai.

Bazme Mahboob Sajanay Mein Mazza Ata Hai…

Woh maza aur kahin bhi nahin aata Ajmal,
Dar pay jana kay jo janay mein maza aata hai.

Bazme Mahboob Sajanay Mein Maza Aata Hay,
Naat sun’ne suna’ne main maza aata hai.

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

1 Comment
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
1
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x