Faslon Ko Takalluf Hai Humse Agar

Faslon Ko Takalluf Hai Humse Agar
Hum bhi be bas nahi be sahara nahi
Khood unhi ko pukarein gay hum door se
Raste mein agar paon thak jayein gay
Faslon ko takalluf hai hum se agar
Hum bhi be bas nahi be sahara nahi
Khood unhi ko pukarein gay hum door se
Raste mein agar paon thak jayein gay

(Hum madine mein tanha nikal jayein gay
aur galyon mein qasdan bhatak jayein gay)….2
(Hum wahan jake wapis nahi aayein gay
dhoondte dhoondte log thak jayein gay)…2

(Jaise hi sabz gumbad nazar aaye ga
Bandagi ka qareenah badal jaye ga)……2
(Sar jhuka ne ki fursat mile gi kise
Khood hi palkon se sajde tapak jayein gay)….2

(Naam un ka jahan bhi lia jaye ga
Zikar un ka jahan bhi kia jaye ga)……2
(Noor hi noor sinon mein bhr jaye ga
sari mehfil mein jalway lapak jayein gay)……….2

(Aye madine ke zair khuda ke liye
Dastan e safar mujh ko yun mat suna)………..2
(Baat barh jaye gi dil tarap jaye ga
Mere mohtaat aansoo jhalak jayein gay)………2

(Un ki chashm e karam ko hai is ki khabar
Kis musafir ko hai ketna shoq safar)……..2
(Hum ko Iqbal jab bhi ijazat mili
Hum bhi aaqa ke darbar tak jayein gay)…….2

Faslon ko takalluf hai hum se agar
Hum bhi be bas nahi be sahara nahi
Khood unhi ko pukarein gay hum door se
Raste mein agar paon thak jayein gay


Faslon Ko Takalluf Hai Lyrics
Faslon ko takalluf hai hum se agar, hum bhi bebas nahin besahara nahi.
Khud unhi ko pukarengey hum door say
Raaste mein agar paon thak jayengay.
Hum Madinay mein tanha nikal jayengey,
Aur galiyon mein kus dun batak jayengey.
Hum wahan jakey wapas nahin ayengay.
Dhoondtay dhoondte loog thak jayengey.
Jaise hi sabz Gumbad nazar ayega,
Bandagi ka kareena badal jaye ga.
Sar jhukane ki fursat milay gi kisey.
Khud hi palkon say sajdey tapak jayengey.
Naam e Aaka jahan bhi liya jayega,
Zikr unka jahan bhi kiya jayega.
Noor hi noor seeno mein bhar jayega,
Sari mehfil mein jalwe lapak jayegey.
Aie Madinay kay zahir KHuda ke liye,
Dastaan e safar mujko yoon mat suna.
Baat bhar jayegi dil tarap jayega,
Meray mohtat ansoo chalak jayegay.
Unki chashme karam ko hai iski khabar,
Kis musafir ko hai kitna shaukey safar.
Humko Iqbal jab bhi ijazat mili,
Hum bhi Aaqa kay darbar tak jayegeney.
Faslon ko takalluf hai hum se agar,
Hum bhi bebas nahin besahara nahi.
Khud unhi ko pukarengey hum door se
Raaste mein agar paon tak jayengey .

Faslon Ko Takalluf Hai Humse Agar in Urdu Language

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

10 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
10
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x