Jahan Roshan Ast Az Jamal-e-Muhammad

Jahan roshan ast az Jamal-e-Muhammad,
Dilam zinda shud az Wisaal e Muhammad.

Tamam jahan Huzoor sallalahu alaihi wassalam kay husn o jamal say raushan hai,
Mera dil huzoor sallalahu alaihi wassalam ki deedar se zinda ho gaya hai.


Kusha majlis o masjid o khanqaahe,
Keh dar we bood qeel o qaal e Mohammad.

Woh masjid, woh majlis, woh khanqah kitni haseen hogi
Jisme huzoor sallalahu alaihi wassalam ki zikr hoti ho.


Kusha chasham e oo min garad Mustafa raa,
Kusha dil ke darad khyaal e Mohammad.

Wo aankhe kitni khoobsurat hogi jisne Huzoor ko dekha ho,
Woh dil kitna haseen hoga jisme Huzoor sallalahu alaihi wassalam ka khyaal ho.


Ba wasf e rakhsh o waldha gasht nazil,
Chu wallail shud zulf o khal e Muhammad.

App sallalahu alaihi wassalam kay chehra o anwar ki tareef mein Surah Waduha nazil huyi,
Issi tarah Surah Wallail to App ki zulfoon aur App kay khal (til) mubarak ki tareef mein hai.


Ba ruye zameen gasht sardar e aalam,
Har aankas keh shud pa’mal e Muhammad.

Ruye zameen per woh shakhs puri duniya ka sardar ban gaya,
Joh Muhammad sallalahu alaihi wassalam kay qadmoon ke nichay pamal huwa. Yani jisnay apnay appko Muhammad sallalahu alaihi wassalam kay qadmoon ki khak jana aur ghulami ikhtiyar ki uska martaba shahan e  duniya say bhi buland hi gaya.


Ba jannat hama hooriyan ker na’ra,
Buqat e shneedan o wisal e Muhammad.

Shab e Mairaj ki taraf isharah hai jab hooron ko App sallalahu alaihi wassalam ka jannat mein aana ma’loom huwa to huroon nay khushi say na’ray lagaye keh app say wisal hogaya.


Shud pak masoom kali gunah gar,
Keh dar khawab binad jamal e Muhammad.

Int’hayi siyah kar aur badkar shakhs bhi pak aur masoom ho jata hai agar usay khawab mein bhi Nabi sallalahu alaihi wassalam ki ziyarat ho jaye.
Kiyun kay hadees shareef ki roh say jisnay khawab mein Nabi sallalahu alaihi wassalam ko dekha usnay unhein hi dekha. Uska yeh khawab shaitani waswasah hargiz nahin ho sakta kiyun kay shaitan ko yeh qudrat hi nahin di gayi keh woh kisi ki khawab mein bhi apni surat ko Appki surat kay mushahba bana ker aaye.


Bood dar jahan har kasay raa khiyal,
Mara izz hama khush e khiyal Muhammad.

Duniya mein har kisi ko koi na koi fiqar rehti hai aur woh kisi na kisi khiyal mein must’ghariq hota hai,
Aur mein kitna khush naseeb hoon keh mujhay tumam khiyaloon say apzal aur behtareen khiyal (yani khiyal e Muhammad) naseeb huwa hai.


Ba sidq o safa dasht be chara Jaami,
Ghulam e ghulaman e aal e Mohammad.

Jaami Huzoor sallalahu alaihi wassalam ke aal ke ghulamo ke ghulami se,
Behad sidq aur safa i qalbi paya hai.


Kalaam: Maulana Abdul Rehman Jami (rahmatullah alaihi)

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x