Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaya

Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaya
Banaaya Jo Mangta Karam Ho Khudaya
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaya
Banaaya Jo Mangta Karam Ho Khudaya

Iraadon Pey Ghaalib Iraada Teyra Hai
Teyra Hukm Sab Par Hameysha Chala Hai
Ilaahi Jagaadey Meyra Bakhte Khufta
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaya

Meri Lagzisho Par Karam Ka Qalam Ho
Isi Sey Jahan Mey Meyra Ab Bharam Ho
Rahey Hashr Mey Bhi Karam Ka Sahaara
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya

Tu Sunta Hai Sab Ki Hamaari Bhi Sunley
Key Bando Mey Khaas Apney Ham Ko Bhi Chunley
Mujeeb In Du’aaon Ko Maqbool Farmaa
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya

Mey Hoon Teyra Saajid Tu Masjood Meyra
Mey Hoon Teyra Bandah Tu Ma’bood Meyra
Asaas e ‘Ibadat Mujhey Dey Dey Maula
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya

Terey Ghar Key Chakkar Lagaata Hoon Maula
Yunhi Saarey ‘Isyaan Mitaata Hoon Maula
Raza Teyri Haasil Ho Ab To Khudaaya
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaya

Hai Rehmaan Tu Hee Hai Jawwad Tu Hee
Hai Ghaffar Tu Hee Hai Sattaar Tu Hee
Hamari Khataa-on Ko Tu Mu’af Farmaa
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya

Banaa Ham Ko Taalee e Qu’ran Ya Rab
Khuley Ham Pey Asraar e Qu’ran Ya Rab
‘Ataa Ho Hamain Maahey Ramzan Ka Sadqa
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaya

Mohabbat Mey Aaqa Ki Shaam o Sahar Ho
Meyri Zeest Ya Rab Isee Mey Basar Ho
Chiraag e Mohabbat Jaley Yeh Hameysha
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya

Nazar Mey Hai Ka’aba To Dil Mey Madinah
Bhala Kaisey Doobeyga Meyra Safeena
Mujhey ‘Ilm Ka Bhi ‘Ataa Ho Khazeena
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya

Jeeyun Ban Key Maula Hameysha Mey Shakir
‘Inayat Habeeb e Khudaa Ki Ho Waafir
Baney Dil Bhi Zaakir Rasool e Khudaa Ka
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaya

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x