Unki Mahek Ne Dil Ke Ghunchey Khila Diye Hain

1. Unki Mahek Ne Dil Ke Ghunchey Khila Diye Hain
2. Jis Raah Chal Diye Hain, Koochey Basa Diye Hain
3. Jab Aa Gayin Hai Joshe Rehmat Pe Unki Ankhen
4. Jalte Bujha Diye Hain, Rote Hansa Diye Hain
5. Ik Dil Hamara Kya Hai Aazaar Uska Kitna
6. Tum Ne To Chaltey Phirtey, Murdey Jila Diye Hain
7. Unke Nisar Koi Kaisey Hi Runj Mein Ho
8. Jab Yaad Aa Gaye Hain, Sab Gham Bhula Diye Hain
9. Hum Se Faqir Bhi Ab Pheri Ko Uthte Hongey
10. Ab To Ghani Ke Dar Par, Bistar Jama Diye Hain
11. Asra Mein Guzrey Jis Dam Berey Pe Qudsiyon Ke
12. Hone Lagi Salaami, Parchum Jhuka Diye Hain
13. Aaney Do Ya Dubo Do Ab To Tumhari Janib
14. Kashti Tum Hi Pe Chori, Langar Utha Diye Hain
15. Dulha Se Itna Kehdo Pyarey Sawari Roko
16. Mushkil Mein Hain Baraati, Purkhar La Diye Hain
17. Allah Kya Jahannam Ab Bhi Na Sard Hoga
18. Ro, Ro Ke Mustafa Ne, Dariya Baha Diye Hain
19. Mere Karim Se Gar Qatra Kisi Ne Maanga
20. Dariya Baha Diye Hain, Dur Be Baha Diye Hain
21. Mulke Sukhn Ki Shahi Tum Ko Raza Musallam
22. Jis Simt Aa Gaye Hain, Sikke Bitha Diye Hain

Author: Maulana, Shah, Ahmed Raza Khan Barelvi (Ra)

Meanings:
Line 11: Asra Mein Guzrey = Referring To Shab-E-Mairaj
Line 16: Purkhar = Kaanto Se Bharey Huey
Line 20: Dur = Moti
Line 20: Be = Innumerable
Line 21: Sukhn = Bolna

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x