Woh Youn Tashreef Laye Hum Gunahgaron Kay Jhurmat Main

Woh Youn Tashreef Laye Hum Gunahgaron Kay Jhurmat Main
Masiha Jaise Aa Jata Hay Bimaaron Kay Jhurmat Main.

Madad Farmaiye Aaqa Pareshaan Haal Ummat Ki,
Keh Shor E Almadad Barpa Hai Baicharon Kay Jhurmat Main.

Laraz Jaati Hai Har Mowj E Balaa Say Aaj Woh Kashti,
Raha Karti Thee Jo Khanda Kabhi Dharon Kay Jhurmat Main.

Talaash E Jazbah E Imaan Abas Hay Keena Kaaron Main
Wafaa Ki Justajoo Aur In Jafaa Kaaron Ki Jhurmat Main.

Hussain Ibne Ali Ki Aaj Bhi Humko Zaroorat Hay,
Ghira Hai Aaj Bhi Islam Khunkhaaron Kay Jhurmat Main.

Unhin Kaa Aks-e-rukh Jalwa Figan Hay Warna Aay Tehseen
Chamak Aisee Kahan Say Aa Gaee Taron Kay Jhurmat Main.

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x