Shahe Baghdad Sada Bol Hai Bala Tera
Kyon Na Ho Sahibey Mairaj Hai Baba Tera
1. Kar Gaya Mand Vilayat Ke Darakhshan Sab Chand
2. Ladla Yeh Pisr Sayyadah Zahra Tera
Shahe Baghdad
3. Tu Vilayat Ka Woh Dulha Hai Ke Ba Ijzo Niyaz
4. Awliya Parh Te Hain Har Daur Mein Sehra Tera
Shahe Baghdad
5. Bakhuda Mulke Vilayat Mein Risalat Ke Baad
6. Hashr Tak Ka Jo Zamana Hai Woh Tanha Tera
Shahe Baghdad
7. Mayn Ghulam Aur Tu Aqa Mayn Sawali Tu Karim
8. Tayy Azal Mein Hua Rishta Yehi Tera Mera
Shahe Baghdad
9. Sabz Gumbad Ki Tajalli Se Hai Uska Rishta
10. Kyon Na Phir Mehbate Anwaar Ho Roza Tera
Shahe Baghdad
Author: Janaab Sahebzada Nasir Ahmed
Meanings:
Line 1: Valiyon Mein Chand, Is Chand Kar Gaya
Line 2: Pisr = Son
Line 5: Bakhuda = Qasam Se
Line 10: Mehbate = Jahan Noor Girta Hai
Line 10: Anwaar = Pleural Of Noor
Manqabat Dedicated To Hazrat Ghaus Al Azam (Ra)
Shahe Baghdad
This Manqabat Is Especially Dedicated To Hazrat Ghaus Al Azam Dastagir, Ghaus As Saqalain, Hazrat Ghaus Paak, Shaikh Muhyiddin Abdul Qadir Jilani (Ra), Qutbe Rabbani, Mehboobe Subhani, Piran-E-Pir, Waliyon Ke Wali, Jis Ka Pair Har Waliyon Ke Gardan Pe Hai. It Can Be Recited Wherever And Whenever A “Gyarvin Sharif” Is Celebrated
COMMENTS