Ab kahan jaon tarap ke
dil ki yeh khwahish nikaal
ae madine ki zameen
meri bhi gunjaish nikaal
ae rahe ishq e Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
kar ke fanah tak rahbari
mujh se aasi ki bhi koi
soorat e bakhshish nikaal
aye fiza taiba ki mere
gird halqa khench kar
mu’dat e umr e rawan se
arsa e gardish nikaal
bargah e Mustafa mein
dil se yeh aai sada
aaj ki taareekh se
taareekh e paidaish nikaal
pesh kar de na qamar
sarmaya e naat e nabi
hashr mein jab hukm ho ga
nama e pursish nikaal
COMMENTS