Akse Roo Ae Mustafa Se Aisi Zaibai Mili Lyrics
1. Akse Roowe Mustafa Se Aisi Zebai Mili
2. Khil Utha Range Chaman, Phoolon Ko Ranai Mili
3. Sabz Gumbad Ke Manazir Dekhta Rehta Hun Mayn
4. Ishq Mein Chashme Tasawwur Ko, Woh Girai Mili
5. Jis Taraf Uth Thi Nigahen Mehfiley Konein Mein
6. Rehmatul Lil Alameen Ki, Jalwa Farmaee Mili
7. Behre Pa Bosi Pahonch Jaen Harime Paak Mein
8. Yun Hamare Muntashir, Ajza Ko Yakjai Mili
Author: Janaab Sahebzada Nasir
Meanings:
Line 1: Akse = Reflection / Shadow
Line 1: Roowe = Face
Line 1: Zebai = Khubsoorati
Line 2: Ranai = Nazakat
Line 3: Manazir = Nazara
Line 4: Chashme Tasawwur = Imagination
Line 4: Girai = Taqat
Line 8: Muntashir = Bikhare Huey Khayalat Ko
Line 8: Ajza = Plural Of Juz
Line 8: Yakjai = Ek Jagah Hona
Line 7: Behre = —- Ke Waaste; This Line Means That If We Reach Madinah Sharif Bare Feet; In Order To Kiss The Holy Feet Of Prophet Muhammad (Saw).
COMMENTS