Baat Jo Kijiye Aur Jab Kijiye

Baat jo kijiye aur jab kijiye
Saath mein Zikr e Mehboob e Rab kijiye
Chahte ho mile zoq ansu bahe
Lab baaton se band apne lab kijiye

Loh woh minar o gumbad nazar aa gee
Ab Salam arz sub ba adab kijiye

Subz gumkbad ke saaye tale hai khare
Khoob taqdeer par rashk ab kijiye

Woh nawaaze ge khali na lautaenge
Unse hajaat arz apni sub kijiye
Saath me zikr e Mehboob kijiye

Dar pe aakar bhikari phire namurad
Yeh gawara bhala aap kab kijiye

Ru baroo jaaliyo ke khare hai Hazoor
Ab ata bheek Shah e Arab kijiye

Aap ke dar ke hote kidhar jaye hum
Ab ata bheek Shah e Arab kijiye

Dijiye hum ko khairat deedar ki
Aab karam Ya Nabi behr e Rab kijiye

Mar raha hu gunaho ke amraaz se
Ek nazar Janib e Jaan balab kijiye

Qalb e tareek par rakh ke apna qadam
Chaandna mere Mah e Arab kijiye

Sunn ke fariyad imdaad ko aa gaye
Yaad Ubaid e Raza unko jab kijiye

Unke nisar koi kaise bhi ranj mein ho
Jab yaad aagaye hai sab gham bhula diye hai
Yaad Ubaid e Raza un ko jab kijiye

Walah woh sunn lenge fariyad ko pohnchenge
Itna bhi to ho koi jo aah kare dil se
Yaad Ubaid e Raza unko jab kijiye

Baat jo kijiye Aur jab kijiye
Saath me Zikr e Mehboob e Rab kijiye

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

1 Comment
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
1
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x