Kamil Hai Jo Azal Se, Woh Hai Kamal Tera
Baqi Hai Jo Aabad Tak, Who Hai Jalal Tera
Kamil Hai Jo Azal Se, Woh Hai Kamal Tera
1. Hai Aarifon Ko Hairat Aur Munkiron Ko Sakta
2. Har Dil Pe Cha Raha Hai, Robo Jalal Tera
Kamil Hai Jo Azal Se
3. Go Hukm Tere Lakhon, Yan Taal Te Rahey Hain
4. Lekin Talana Hargiz, Dil Se Khayal Tera
Kamil Hai Jo Azal Se
5. Unki Nazar Mein Shaukat, Jachti Nahin Kisi Ki
6. Ankhon Mein Bas Raha Hai, Jin Ke Jamal Tera
Kamil Hai Jo Azal Se
Author: Maulana Hasan Raza Khan Barelvi
Meanings:
Line 1: Sakta = To Stand Still
Line 3: Go = Agar Che
Line 5: Shaukat = Uski Barai Aur Aali Shaan
COMMENTS