Mere Karim Karam

1. Har Ek Sifat Ko Teri Zaat Se Hisaar Kiya
2. Khuda Ne Tujh Ko Mashiat Ka Aashikar Kiya
3. Mere Karim Karam, Tune Bar Bar Kiya
4. Mujhe Ghulam Usey Mera Shahryaar Kiya
5. Teri Shabih Ki Takmil Par Musavvir Ne
6. Khud Apne Fun Ko Tere Zaat Par Nisar Kiya
7. Sajake Khatme Nabuwwat Ka, Tere Sar Par Taaj
8. Khuda Ne Tujh Ko Rasoolon Ka Taajdaar Kiya
9. Khuda Gawah Gunahon Pe Apne Nadim Tha
10. Tere Karam Ne Mujhe Aur Sharmsaar Kiya
11. “Ali” Ko Farshe Risalat Diya Shabe Hijrat
12. Rafique The Abu Bakr; Yare Ghaar Kiya
13. Teri Nigahen Karam Ne, Usey Tasalli Di
14. Woh Ankhen Jis Ko Zamane Ne Ashkbaar Kiya
15. Tere Tufail Hai Maheshar Mein, Sar Buland Nasir
16. Tera Karam Ke Usey Ummati Shumar Kiya

Author: Janaab Sahebzada Nasir

Meanings:
Line 1: Sifat = Ta’Rif
Line 1: Hisaar Kiya = Shamil Kiya Aur Bakhsa
Line 2: Mashiat = Marzi; Jo Chiz Hone Wali
Line 2: Aashikar = Zahir Karna
Line 5: Shabih = Jism
Line 5; Takmil = Mukammil
Line 5: Musavvir = Allah The Fashioner
Line 6: Nisar = Nichawar
Line 9: Nadim = Sharminda
Line 10: Sharmsaar = Sharminda

Line 11: “Ali” Ko Farshe Risalat Diya Shabe Hijrat = Refers To The
Incident On The Night Of The Hijrat; Farsh = Charpai
Line 14: Ashkbaar Kiya = Aanshu Se Bhar Diya

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

0 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x