Sarkare Do Alam Ke Rukh Par

Sarkare Do Alam Ke Rukh Par, Anwaar Ka Alam Kya Hoga
Jab Zulf Ka Zikr Hai Qur’An Mein, Rukhsar Ka Alam Kya Hoga

1. Mehboobe Khuda Ke Jalwon Se, Iman Ki Ankhen Raushan Hain
2. Bin Dekhey Hi Jab Yeh Alam Hai, Didar Ka Alam Kya Hoga
Sarkare Do Alam

3. Jab Unke Gada Bhar Detey Hain, Shahane Zamana Ki Jholi
4. Mohtaj Ki Jab Yeh Halat Hai, Mukhtar Ka Alam Kya Hoga
Sarkare Do Alam

5. Hai Naam Mein Unka Itna Asar, Ji Uthte Hai Murdey Bhi Sun Kar
6. Woh Haal Agar Khud Puchein To, Bimar Ka Alam Kya Hoga
Sarkare Do Alam

7. Jab Unke Ghulamon Ke Dar Par, Jhukte Hain Salaati-Ne Alam
8. Phir Koi Bataey Aqa Ke, Darbar Ka Alam Kya Ho Ga
Sarkare Do Alam

9. Jab Sunke Sahaba Ki Baaten, Kuffar Musalman Hote Hain
10. Phir Donon Jahan Ke Sarwar Ki, Guftar Ka Alam Kya Hoga
Sarkare Do Alam

11. Taibah Se Hawa Jab Ati Hai, Bekal Ko Sukun Mil Jata Hai
12. Is Paar Ka Jab Yeh Alam Hai, Us Par Ka Alam Kya Hoga
Sarkare Do Alam

Author: Janaab Bekal

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

0 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x