Sarware Ambiya Ki Hai Mehfil Saji

Sarware Ambiya Ki Hai Mehfil Saji
Liji Ye Kuch Maza Jhoom Te Jhoom Te
Aap Suntey Rahey Mein Sunata Rahun
Zikr e Salley Ala Jhoom Te Jhoom Te

1. Wajhey Taskine Alam Hai Yade Nabi
2. Dafa-Aey Ranjo Alum Hai Milade Nabi
3. Aap Bethein Saja Kar Zara Bazm Ko
4. Hogi Rehmat Khuda Jhoom Te Jhoom Te
Sarware

5. Ek Bhi Apne Daman Mein Neki Nathi
6. Aankh Mein Ashk The Lab Pe Naate Nabi
7. Mujh Ko Unke Karam Ne Sahara Diya
8. Unki Aai Ata Jhoom Te Jhoom Te
Sarware

9. Girnein Wale Hain Jitne Sambhal Jaengey
10. Unke Usshaq Sun Kar Machal Jaengey
11. Kamli Wale Ki Zulfon Ke Le Kar Mahek
12. Chal Pari Hai Hawa Jhoom Te Jhoom Te
Sarware

13. Kuch Nawason Ka Sadqa Ata Kiji Ye
14. Hum Faqiron Ke Daman Ko Bhar Diji Ye
15. Naam Sun Kar Tera Tere Darbar Ka
16. Aa Gaye Hain Gada Jhoom Te Jhoom Te
Sarware

17. Ashiqon Haasiley Zindagi Hai Yahi
18. Zindagi Ki Qasam Bandagi Hai Yahi
19. Har Ghari Ho Zuban Se Niyazi Agar
20. Midhate Mustafa Jhoom Te Jhoom Te
Sarware

Author: Janab Abdul Sattar Niazi

Meaninigs:
Line 6: Ashk = Love
Line 16: Gada = Humble Slaves

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

0 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x