Usko Kabhi Na Chu Saken Ranjo Bala Ke Hath
Uthey Hai Jis Ke Haqq Mein Rasoole Khuda Ke Hath
1. Mehshar Mein Hoga Chah Ne Walon Pe Yeh Karam
2. Apni Taraf Bulaen Gey Aqa Utha Ke Hath
Usko Kabhi
3. Be Hado Be Shumar Khataein Sahi Magar
4. Kuch Gham Nahin Ke Laaj Hai Ab Mustafa Ke Hath
Usko Kabhi
5. Ishqey Nabi Ki Ilmey Lakirein Bhi Khinch Kar
6. Roze Azal Khuda Ne Bana Ke Hamare Hath
Usko Kabhi
7. Har Saans Waqf Hai Shahe Lolak Ke Liye
8. Meri Taraf Barhengein Adab Se Qaza Ke Hath
Usko Kabhi
9. Ji Chahta Hai Khake Dare Paak Chumlun
10. Yeh Baat Lag Na Jaen Kahin Se Saba Ke Hath
Usko Kabhi
11. Har Su Hain Unke Naqshe Kafey Pa Hijaz Mein
12. Allah Ne Kiya To Laga Lengey Jaake Hath
Usko Kabhi
13. Mein Hun Gadaaey Koochey Aaley Nabi Nasir
14. Dekhey To Mujh Ko Narey Jahannam Laga Ke Hath
Usko Kabhi
Author: Janab Sahibzada Nasir Ahmed
Meaninigs:
Line 7: Lolak = Alam
Line 9: Khak = Mitti
Line 10: Saba = Hawa
Line 11: Su = Taraf
Line 11: Naqshe = Prints
Line 11: Kafey Pa = Foot
COMMENTS