Allama Muhammad Iqbal (علامہ محمد اقبال)
Owais Raza Qadri (اویس رضا قادری)
Syed Fasihuddin Soharwardy (سید فصیح الدین سہروردی)
ZeheZahe Izzato Aaitlaye Muhammad
Ke hai Arsh-e-Haqq zir-e-paaye Muhammad
Such is the honour and grandeur of Muhammad
The Divine Throne lies ‘neath the feet of Muhammad!
Makaan Arsh unka falaq farsh unka
Malak khaadmaan-e-saraaye Muhammad
The world, the Throne, skies, earth are his!
The angels the manservants of Muhammad!
Khuda ki raza chaahatay hain do Aalam
Khuda chaahata hai Razaaye Muhammad
Both the worlds aim to please God
God wishes to please Muhammad!
Ajab kya agar raham farmaaye hum par
Khudaaye Muhammad baraaye Muhammad
It wouldn’t be strange if He shows us mercy
Muhammad’s God, for the sake of Muhammad!
Muhammad baraaye Janaab-e-Ilaahi
Janaab-e-Ilaahi baraaye Muhammad
Muhammad for the Almighty Lord
The Almighty Lord for Muhammad!
Dam-e-nazaa’ jaari ho meri zabaan par
Muhammad Muhammad Khudaaye Muhammad
At the moment of death may I say:
Muhammad Muhammad, the Lord of Muhammad!
Mein qurbaan kya pyaari pyaari hai nisbat!
Yeh aane Khuda woh Khudaaye Muhammad
May I die for such a connection!
He is the glory of God, He the God of Muhammad!
Khuda unko kis pyaar se dekhta hai
Joh aankhein hein mahv e-liqaaye Muhammad
With such love does God look upon
Those eyes busy adoring Muhammad!
Ijaabat ka sehra inaayat ka jorra
Dulhan ban ke niklee duaaye Muhammad
A diadem of asking, a dress of bestowing
Like a bride went the prayer of Muhammad!
Raza pul se ab wajd karte guzariye
Ke hai “Rabbi Sallim” sadaaye Muhammad
Raza now cross the Bridge in ecstasy!
For “My Lord, peace!” is the cry of Muhammad
Couplets added by Allama Iqbal:
Tamasha tau dekho ke dozakh ki aatish
Lagaaye Khuda aur bhujaaye Muhammad!
See this spectacle: the fires of Hell
Are stoked by God, extinguished by Muhammad!
Tamasha tou dekho kay Firdous-e-Aala
Banaey Khuda aur Basaey Muhammad
COMMENTS