Owais Raza Qadri (اویس رضا قادری)
Jo Ho Chuka Hai Jo Ho Ga, Huzoor Jante Hain
Teri Aata Say Khudaya, Huzoor (PBUH) Jaante Hain,,,
Khuda Ko Dekha Nahin Aur Eik Maan Liya
Ke Jantay Thay Sahaba, Huzoor (PBUH) Jantay Hein
Munafiqoon Ka Aqeeda Woh Gaibdaan Nahin
Aur Sahabiyoon Ka Aqeeda, Huzoor (PBUH) Jantay Hain,,,
Aie Ilm E Ghaib Kay Munkir Khuda Ko Dekha Hai?
Aur Tujhay Bhi Kehna Padega, Huzoor (PBUH) Jantay Hain,,,
Khabar Bhi Hai? Ke Khabar Sabki Hai Unhein Kab Say
Ke Jab Na Ab Tha Na Kab Tha, Huzoor (PBUH) Jantay Hain,,,
Umar Nay Tan Say Juda Kar Diya Tha Sar Jis Ka
Woh Apna Hai Ke Paraya, Huzoor (PBUH) Jantay Hain,,,
Nabi Ka Faisla Na Maan Kar Woh Jaan Say Gaya,
Mizaaj Umar Ka Hai Kaisa, Huzoor (PBUH) Jantay Hain,,,.
Wohi Hai Paikar E Sharm O Haiya O Zul Nuraian,
Maqaam Unki Haya Ka, Huzoor (PBUH) Jantay Hain,,,.
Hain,,, Jiske Moula Huzoor (PBUH) Uske Hain,,, Ali Moula
Abu Turab Ka Rutba, Huzoor (PBUH) Jantay Hain,,,
Yeh Khud Shaheed Hain,,,, Betay Nawasay Potay Shaheed
Ali Ki Shaan E Yagana, Huzoor (PBUH) Jantay Hain,,,
Main Unki Baat Karoon Yeh Nahin Meri Auqaat,
Ke Shaan E Fatma Zahra, Huzoor (PBUH) Jantay Hain,,,.
Jina Mein Kaun Hain,,, Sardaar Nojawanoon Kay
Hasan, Hussain Ke Nana, Huzoor (PBUH) Jantay Hain,,,
Malaika Ne Kiya Youn To Sajda Adam Ko
Dar Asal Kis Ko Tha Sajda, Huzoor (PBUH) Jantay Hain,,,
Kahan Marein Gay Abu Jahal O Utba O Sheiba
Ke Jang E Badr Ka Naqsha, Huzoor (PBUH) Jantay Hain,,,
Woh Kitna Fasla Tha, Aur Kalaam Tha Kaisa
Aao Adna Aur Ma Aaoha, Huzoor (PBUH) Jantay Hain,,,
Milay Thay Rah Mein 9 Bar Kis Liye Musa
Yeh Deed E Haq Ka Bahana, Huzoor (PBUH) Jantay Hain,,,
Main Chup Khara Houn Mawaja Pay Sar Jhukaye Huye
Sunaoon Kaise Fasana, Huzoor (PBUH) Jantay Hain,,,
Chupa Rahe Hai Lagatar Mere Aiyboon Ko
Main Kis Qadar Houn Kameena, Huzoor (PBUH) Jantay Hain,,,
Khuda Hi Jaanay Ubaid Unko Hai Pata Kiya Kiya
Hamein Pata Hai Bus Itna, Huzoor (PBUH) Jantay Hain,,,
Nahi Hai Zaad E Safar Pass Jin Ghulamoon Ke
Unhein Bhi Dar Pe Bulana, Huzoor (PBUH) Jantay Hain,,,
Haran Ne Oonth Ne Chiryoon Ne Ki Yehi Faryaad
Ke Unkay Gham Ka Madawa, Huzoor (PBUH) Jantay Hain,,,
Teri Aata Say Khudaya, Huzoor (PBUH) Jaante Hain,,,
Nahi Hai Zaad E Safar Pass Jin Ghulamoon Ke
Unhein Bhi Dar Pe Bulana, Huzoor (PBUH) Jantay Hain,,,
Teri Aata Se Khudaya, Huzoor (PBUH) Jaante Hain,,,
Main Unki Baat Karoun Yeh Nahin Meri Auqaat
Ke Shaan E Fatma Zahra, Huzoor (PBUH) Jantay Hain,,,
COMMENTS