Tujhe Dhundh Ta Tha


TUJHE DHUNDH TA THA MAYN CHAR SU
TERI SHAAN JALLA JALALUHU
TU MILA QARIBEY RAGEY GULU
TERI ZAAT AMMA NAWALUHU…………….. TUJHE DHUNDH TA….

1. TERI YAAD MEIN HAI KALI, KALI
2. HAI CHAMAN, CHAMAN MEIN HUWAL AALI
3. TU BASA HAI PHOOL MEIN HOO BAHOO
TERI SHAAN JALLA JALALUHU

4. TERA DAALI, DAALI MEIN WASF HAI
5. TERI PATTEY, PATTEY MEIN HAMD HAI
6. TERA GHUNCHEY, GHUNCHEY MEIN RANGO BU
TERI SHAAN JALLA JALALUHU

7. TERA JALWA DONON JAHAN MEIN HAI
8. TERA NOOR KOUNO MAKAA’N MEIN HAI
9. YAHAN TU HI TU WAHAN TU HI TU
TERI SHAAN JALLA JALALUHU

10. TERI JUSTAJU MEIN HAI FAKHTA
11. KE KAHAN TU JALWA DIKHAEGA
12. USEY VIRD KUKU HAI KU BAKU
TERI SHAAN JALLA JALALUHU

13. GIREY QATREY ABR SE KHAK PAR
14. TO YEH BOLA SABZ UTHA KE SAR
15. DIYA GHAIB SE MUJHE AABEY JU
TERI SHAAN JALLA JALALUHU

16. TERA RUNG LALO GOHAR MEIN HAI
17. TERA NOOR SHAMSO QAMAR MEIN HAI
18. TERI ZAAT AMMA NAWALUHU
TERI SHAAN JALLA JALALUHU

19. TERE HUKM SE JO HAWA CHALI
20. TO CHITAK KE BOLI KALI KALI
21. HAI KARIM TU HAI RAHIM TU
TERI SHAAN JALLA JALALUHU

22. HAI DUA E AKBARE NATAWAN
23. NA THAMEY QALAM NA RUKE ZUBAN
24. MAYN LIKHUN PARH-HUN YEHI BA WUZU
TERI SHAAN…REPEAT “TUJHE DHUNDH TA….”

MEANINGS:
MAIN LINE:RAGEY GULU = JUGULAR VEIN OF NECK
LINE 10: JUSTAJU = SEARCH
LINE 10: FAKHTA = DOVE
LINE 12: KU BAKU = KOOCHA, GALI
LINE 13: ABR SE = FROM CLOUDS; KHAK = ZAMIN
LINE 14: SABZ = GREENERY
LINE 15: AABEY = WATER; JU = FOUNTAIN
LINE 16: LALO = RUBY; GOHAR = MOTI, HEEREY
LINE 22: NATAWAN = WEAK / KAMZOR
LINE 23 DHAMEY QALAM= NA RUKNE WALI QALAMMore Naat Lyrics

 1. Habib E Khuda Ka Nazaara Karoon Mein
 2. Bagh Jannat Ke Hain Behre Madha Khawan Ahelbait
 3. Zameen O Zaman Tumhare Liye
 4. Jab Gumbad e Khazra Pe Woh Pehli Nazar Gaye
 5. Gul Az Rukhat Aamokhta Nazuk Badani Ra Badani Ra
 6. Ya Rabbana Irhamlana
 7. Mere Karim Karam
 8. Aaj Muhammad Aaye Moray Ghar
 9. Shahon Se Kuch Garaz Na
 10. Maae Hubbe Nabi
 11. Ya Shah e Behro Bar
 12. Tu Shamme Risalat Hai Alam Tera Parwana
 13. Ban Ke Noor e Khuda Mustafa Aa Gaye
 14. Imam Ul Ambiya Tum Ho Rasool E Mujtaba Tum Ho
 15. Har Roz Shabe Tanhai Mein
 16. Aaqa Meriyan Akhiyan Madinay Wich Reh Giyan
 17. Aakhri Lamhon Mein Kya Shehr O Biyabaan Dekhun
 18. Idhar Hazaroon Nabi o Mursal
 19. Khoob Naam E Muhammad Hai Aie Momino
 20. Aa Gayi Jag De Vich Bahar

Leave a Comment