Ya Nabi Salam Alaika, Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Nabi Salam Alaika, Saalwa Tullah Alaika
1. Jaan Kar Kaafi Sahara, Le Liya Hai Dar Tumhara
2. Khalq Ke Waris Khudara, Lo Salaam Ab To Hamara
Ya Nabi Salam Alaika
3. Haan Yeh Pura Mudda-Aa Ho, Hum Hon Darbare Khuda Ho
4. Tum Idhar Jalwah Numa Ho, Us Taraf Se Yeh Sada Ho
Ya Nabi Salam Alaika
5. Aap Shahe Inso Jaan Ho, Warise Kouno Makaa’N Ho
6. Rahnumae Do Jahan Ho, Peshwae Mursalin Ho
Ya Nabi Salam Alaika
7. Noore Rabbul Alameen Ho, Jalwae Haqqul Yaqin Ho
8. Sarware Duniya-O-Deen Ho, Dil Mein, Ankhon Mein, Makin Ho
Ya Nabi
9. Ashiqe Maeel Ki Sun Lo, Baniye Mehfil Ki Sun Lo
10. Same-Een Ke Dil Ki Sun Lo, Akbare Bismil Ki Sun Lo
Ya Nabi
11. Mere Maula Mere Sarwar, Hai Yehi Armane Akbar
12. Pahle Qadmon Par Rakh-Khein Sar, Phir Kahein Yeh Sar Utha Kar
Ya Nabi
Author: : Janaab Muhammad Akbar Warsi
Meaning:
Line 4: Sada = Awaaz
COMMENTS