Namey Muhammad Salley Ala, Ankhon Ki Thandak Dil Ki Jila
Aao Unka Zikr Karein, Jo Hai Dafa-Aey Ranjo Bala
1. Jin Ko Unka Qurb Mila Hai, Ban Gaye Hadi-O-Raah Numa
2. Sab Par Unki Chashme Karam Hai, Wah Re Shaane Judo Sakha
Namey Muhammad
3. Dekh Ke Apni Farze Amal Ko, Aasi Jab Sharmaen Gey
4. Ummat Se Kuch Pyar Hai Aisa, Khud Woh Karam Farmaen Gey
Namey Muhammad
5. Un Par Apna Tan Man Warun, Warun Husne Kouno Makaa’N
6. Haasil Unke Sadqey Mein Hai, Izzat-O-Azmat Naam-O-Nishan
Namey Muhammad
7. Mehfiley Naat Ki Baat Na Pucho, Khud Woh Karam Farmatey Hain
8. Jin Pe Karam Hota Hai Unka, Unke Din Phir Jate Hain
Namey Muhammad
9. Unki Bhik Pe Sab Paltey Hain, Unke Mungtey Shahon Gada
10. Dar Se Koi Khali Na Lauta, Daata Ki Yeh Shaane Ata
Namey Muhammad
11. Jab Koi Mushkil Pesh Aai Hai, Dil Ne Unko Pukara Hai
12. Anjum Apna To Yeh Yaqin Hai, Unka Karam Ho Jata Hai
Namey Muhammad
Author: Janaab Qamruddin Anjum
COMMENTS