1. Ya Rasoolallah, Tere Dar Ki Fazaon Ko Salaam
2. Gumbade Khadra Ki Thandi, Thandi Chaon Ko Salaam
3. Walhana Jo Tawafe Rozae Anwar Karein
4. Masto Be Khud Wajd Mein Aati Hawaon Ko Salaam
5. Jo Madiney Ki Gali Kuchon Mein Detey Hain Sada
6. Ta Qayamat Un Gadaon Aur Faqiron Ko Salaam
7. Mangtey Hain Jo Wahan Shahon Gada Bey Imtiyaz
8. Dil Ki Har Dharkan Mein Shamil Un Duaon Ko Salaam
9. Kaa’Bae, Kaa’Bah Ke Khush Manzar Nazaron Par Durood
10. Shahre Battuha Ke Daro Diwar Par Lakhon Durood
11. Masjide Nabawi Ki Subho Aur Shamon Ko Salaam
12. Jo Parha Karte The Ro-Ro Kar Tere Darbar Mein
13. Pesh Karte Hain Yeh Aasi Un Salaamon Ko Salaam
14. Ya Ilahi Sadqae Aaley Rasool
15. Yeh Salaame Aajzaana Ho Qubool
16. Assalatu Wassalaamu Alaika Ya Rasoolallah
17. Assalatu Wassalaamu Alaika Ya Habiballah
Author: Originally Written By Janaab Zahoori But Extra Lines Have Been Added By Popular Demand.
Meaning:
Line 13: Aasi = Gunehgaar
COMMENTS