Gham Ho Gaye Beshumar Aaqa

Roman Urdu

Gham Ho Gaye Beshumar Aaqa
Bandah tere nisar aqa

Bigda jata hai khel mera
Aqa aqa sanwar aqa

Munjhedar pe aa ke naao tooti
De haath ke hun mein paar aqa

Tooti jati hai peeth meri
Lillah yeh bojh utaar aqa

Halka hai agar hamara pallah
Bhaari hai tera waqar aqa

Majboor hain hum to fikr kya hai
Tum ko to hai ikhtiyar aqa

Main door hoon tum to ho mere paas
Sun lo meri pukaar aqa

Mujh sa koi ghamzada nahin hoga
Tum sa nahin gham-gusaar aqa

Girdaab mein par gayi hai kashti
Dooba dooba, utaar aqa

Tum woh karim ko naaz tum se
Main woh baddi ko aar aqa

Phir munh na parey kabhi khizaan ka
De de aisi bahaar aqa

Jis ki marzi Khuda na taaley
Mera hai woh naamdaar aqa

Hai mulk-e-Khuda pe jiska qabza
Mera hai woh kaamgaar aqa

Soye kiye nabkaar bande
Roye kiye zaar-zaar aqa

Kya bhool hai in ke hotay kahlaien
Duniya ke yeh taajdaar aqa

Un ke adna gada pe mit jayen
Aisey aisey hazaar aqa

Be-abr-e-karam ke mere dhabbe
La taghsiluhal bahaar aqa

Itni rehmat raza pe karlo
La yaqrobuhal bawaar aqa


Urdu

غم ہوگئے بے شمار آقا
بندہ تیرے نثار آقا

بگڑا جاتا ہے کھیل میرا
آقا آقا سنوار آقا

منجدھار پہ آ کے ناؤ ٹوٹی
دے ہاتھ کہ ہوں میں پار آقا

ٹوٹی جاتی ہے پیٹھ میری
لِلّٰہ یہ بوجھ اتار آقا

ہلکا ہے اگر ہمارا پلّہ
بھاری ہے تِرا وقار آقا

مجبور ہیں ہم تو فکر کیا ہے
تم کو تو ہے اختیار آقا

میں دور ہوں تم تو ہو مِرے پاس
سن لو میری پکار آقا

مجھ سا کوئی غم زدہ نہ ہوگا
تم سا نہیں غم گُسار آقا

گرداب میں پڑ گئی ہے کشتی
ڈوبا ڈوبا، اتار آقا

تم وہ کہ کرم کو ناز تم سے
میں وہ کہ بدی کو عار آقا

پھر منھ نہ پڑے کبھی خزاں کا
دے دے ایسی بہار آقا

جس کی مرضی خدا نہ ٹالے
میرا ہے وہ نام دار آقا

ہے مُلکِ خدا پہ جس کا قبضہ
میرا ہے وہ کام گار آقا

سویا کیے نابکار بندے
رویا کیے زار زار آقا

کیا بھول ہے ان کے ہوتے کہلائیں
دنیا کے یہ تاج دار آقا

اُن کے ادنیٰ گدا پہ مٹ جائیں
ایسے ایسے ہزار آقا

بے ابرِ کرم کے میرے دھبّے
لَا تَغْسِلُہَا الْبِحَار آقا

اتنی رحمت رؔضا پہ کرلو
لَا یَقْرُبُہُ الْبَوَار آقا


English Translation

Gham Ho Gaye Beshumar Aaqa
Banda Tere Nisaar Aaqa
My Sorrows Have Become Excessive, My Master
Sacrificed Upon You, Is Your Slave, Submissive, My Master

Bigr’a Jaata Hai Khel Mera
Aaqa! Aaqa! Sanwaar Aaqa
All My Plans Are Failing, As They Become Indecisive, My Master
O My Master! My Master, Adorn & Make Them Effective, My Master

Manjdhaar Pe Aa, Ke Naaw Tooti
De Haath Ke Huñ Maiñ Paar Aaqa
Aid Me In The Storm, My Ship Is Wrecked, I Am Restive My Master
Let Me Reach The Shore, Holding Your Hand, Being Decisive, My Master

Tooti Jaati Hai Peet’h Meri
Lillah Ye Bojh Utaar Aaqa
My Back Is Breaking Due To My Burden Which Is Massive, My Master
For Allah’s Sake Remove This Burden Holding Me Captive, My Master

Halka Hai Agar Hamaara Pal’lah
Bhaari Hai Tera Waqaar Aaqa
Even Though Our Deeds On The Scale Are Few & Diminutive, My Master
Your Grand Honour Is Massive And Extensive, My Master

Majboor Haiñ Ham To Fikr Kya Hai
Tum Ko To Hai Ikhtiyaar Aaqa
What Worry Is There If We Are Held Restrictive, My Master
You Have The Authority To Be Completely Decisive, My Master

Me Door Huñ Tum To Ho Mere Paas
Sun Lo Meri Pukaar Aaqa
I May Be Far Away, But Close To Me You Always Live, My Master
So Please Listen To My Plea Which Is Comprehensive, My Master

Mujh Sa Ko-ee Ghamzada Na Hoga
Tum Sa Nahiñ Gham Gusaar Aaqa
Like Me, There May Be None So Depressive, My Master
None But You, Makes Me Feel More Positive, My Master

Girdaab Me Par Ga-ee Hai Kashti
Dooba, Dooba Utaar Aaqa
In A Whirlpool My Ship Has Been Held Captive, My Master
I Am Sinking! I Am Sinking! Save Me, I Am Restive, My Master

Tum Wo, Ke Karam Ko Naaz Tum Se
Me Wo Ke Badee Ko ‘Aar Aaqa
Generosity Admires You, For You Are So Impressive, My Master
Whereas I Am Such, That Even Sin Looks At Me Being Negative, My Master

Phir Munh Na Pare Kabhi Khizaañ Ka
De-De Aisi Bahaar Aaqa
May Autumn Not Show Its Face Again, Staying Inactive, My Master
Bless Me With A Such Spring Time, Which Is Exclusive, My Master

Jis Ki Marzi Khuda Na Taale
Mera Hai Wo Naam-Daar Aaqa
You Are Him, Whose Wish Allah Does Not Make Negative, My Master
You Are That Personality, So Renowned And Distinctive, My Master

He Mulk e Khuda Pe Jis Ka Qabza
Mera Hai Wo Kaam-Gaar Aaqa
Over The Kingdom Of Allah Is Your Reign, So Authoritative, My Master
You Are The One Who Fulfils My Every Wish & Initiative, My Master

Soya Kiye Naa-Bakaar Bande
Roya Kiye Zaar, Zaar Aaqa
While Us Worthless Servants Sleep, Completely Inactive, My Master
You Go On Weeping; Towards Us You Are So Sensitive, My Master

Kya Bhool Hai Un Ke Hote Kehlaa-eñ
Duniya Ke Ye Taajedaar Aaqa
While You Are Present, Their Claims Are Destructive, My Master
When The Worldly Kings Regard Themselves Distinctive, My Master

Unke ‘Adna Gada Pe Mit’t Jaa-eñ
Aise, Aise Hazaar Aaqa
Sacrificed Upon Your Lowest Slave, Should Be Their Objective, My Master
For Thousands Like Them, Are Not As Attractive, My Master

Be Abr e Karam Ke Mere Dhab’bay
‘Laa Tagh-Siluhal Bihaar’ Aaqa
Without Your Merciful Clouds, My Sinful Stains Are So Massive, My Master
They Cannot Even Be Cleansed By The Ocean, So Extensive, My Master

Itni Rahmat RAZA Pe Kar Lo
‘La Yaqrabuhul Bawaar’ Aaqa
Shower Upon Raza, Your Mercy So Expansive, My Master
So All Calamities Stay Away From Him, Remaining Inactive, My Master


Lyrics from Hadaiq e Bakhshish Book, Pages 34-36


Lyrics from Irfane Bakhshish Book, Pages 131-141

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x