Naimatein Banta Jis Samth Woh Zeeshan Gaya
Saath Hi Munshiaey Rehmat Ka, Qalamdaan Gaya
1. Le Khabar Jald Ke Ghairon Ki Taraf Dhyan Gaya
2. Mere Maula Mere Aqa, Tere Qurbaan Gaya
3. Aah Woh Aankh Ke Nakame Tamanna Hi Rahi
4. Hai Woh Dil Jo Tere Dar Se, Pur Arman Gaya
5. Dil Hai Woh Dil Jo Teri Yaad Se Ma’Moor Raha
6. Sar Woh Hai Sar Jo Tere Qadmon Pe, Qurbaan Gaya
7. Unhen Jana Unhen Mana Na Rakhkha Ghair Se Kaam
8. Lillah Hil Hamd Mayein Duniya Se, Musalman Gaya
9. Aur Tum Par Mere Aqa Ki Inayat Na Sahi
10. Najdio Kalimah Parha Ne Ka Bhi, Ehsaan Gaya
11. Aaj Le Unki Panah Aaj Madad Maang Unsey
12. Phir Na Manengey Qayamat Mein, Agar Maan Gaya
13. Jaano Dil Hosho Khirad Sab To Madiney Pahonchey
14. Tum Nahin Chaltey Raza Sara To, Saman Gaya
Author: Maulana, Shah, Ahmed Raza Khan Barelvi (Ra)
Meanings:
Main Line: Jis Simt = Us Taraf
Line 12: Khirad = Aql
COMMENTS