Jis Ki Jaan Ko Tamanna Hai Dilko Talab

1. Jis Ki Jaan Ko Tamanna Hai Dilko Talab
2. Woh Sukun Bakhsh Mehfil Madiney Mein Hai
3. Yun To Jine Ko Hum Ji Rahe Hain Magar
4. Jaan Madiney Mein Hai Dil Madiney Mein Hai
5. Fikre Duniya Wahan Dur Paogey Tum
6. Qalb Mein Har Taraf Noor Paogey Tum
7. Rooh Ko Apni Masroor Paogey Tum
8. Ek Ajab Kaife Kamil Madiney Mein Hai
9. Har Tamanna Wahan Jaake Bar Aaey Gi
10. Ek Rehmat Ki Duniya Nazar Aaey Gi
11. Na Ummidon Tum Itna Pareshan Naho
12. Aarzoo-On Ka Haasil Madiney Mein Hai
13. Kya Maho Maher Wa Najm Aur Kya Inso Jaan
14. Hai Isi Simt Maeel Diley Do Jahan
15. Koi Samjhey Na Samjhey Haqiqat Yeh Hai
16. Zarrah, Zarrah Ki Manzil Madiney Mein Hai
17. Barakallah Yeh Zouqo, Shouqo, Khushi
18. Barakallah Yeh Wajdo Waraftagi
19. Ishq Ka Tauf Har Lamha Salley Ala
20. Ishq Ka Kaa’Bae Dil Madiney Mein Hai
21. Hai Tasawwur Mein Har Waqt Bab-Us-Salaam
22. Hai Takhayyul Mein Har Lehza Woh Saqfo Baam
23. Jab Se Behzaad Unka Karam Ho Gaya
24. Jaan Madiney Mein Hai Dil Madiney Mein Hai

Author: Hazrat Behzaad Lakhnavi

Meanings:
Line 8: Kaife = Kaifiyat; Suroor
Line 13: Maho Maher = Suraj
Line 14: Maeel = Attracted Towards
Line 18: Wajdo Waraftagi = Upar Pahonchna
Line 19: Tauf = Tawaf
Line 22: Takhayyul = Khyal
Line 22: Saqfo Baam = Daro Diwaar; Roof Of House Or Naqsha

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x