Ahmed Raza Khan Barelvi (احمدرضا خان بریلوی)
Al Aaman Qahar Hai Aie Ghous Woh Teekha Tera
Mar Kay Bhi Chain Say Sota Nahin Mara Tera.
Badaloon Say Kahin Rukati Hai Karakati Bijli
Dhale Chant Jati Hain Uthta Hai Jo Tegha Tera
Aks Ka Dekh Ke Munh Aur Bhipar Jata Hain
Char Aina Ke Bal Ka Nahin Neza Tera
Koh Sar Mukh Ho To Ik Vaar Mein Do Par Kalay
Haath Parta Hi Nahin Bhool Kay Oocha Tera
Us Pay Yeh Kehar Kah Abb Chand Mukhalif Teray
Chahtay Hain Kay Ghata Dein Kahin Paya Tera
Aql Hoti To Khuda Say Na Larai Letay
Yeh Gh’taein, Usay Manzoor Badh’hana Tera
Warafana Laka Zikrak Ka Hai Saya Tujh Par
Bol Bala Hai Tera Zikr Hai Ooncha Tera
Mit Gaye Mit’tay Hain Mit Jayein Gay Aada Teray
Na Mita Hai Na Mite Ga Kabhi Charcha Tera
Tu Ghataye Say Kisi Kay Na Ghata Hain Na Ghatay
Jab Badhae Tujhay Allah Taala Tera
Summay Qatil Hai Khuda Ki Qasam UnKa Inkar
Munkir’ay Fadlay Huzur Aah Yeh Likha Tera
Meray Sa’yaf Kay Khanjar Say Tujhay Baak Nahin
Cheer Ker Dekhay Koi Aah Kaleja Tera
Ibn e Zahra Say Teray Dil Mein Hain Yeh Zehr Bharey
Bal Bay Ao Mankir e Bebak Yeh Zahra Tera
Bazay Ash’hab Ki Ghulami Say Yeh Aankhein Phirni
Dekh Udd Jaye Ga Iman Ka Tota Tera
Shaakh Per Beith Kay Jad Katnay Ki Fikr Me Hai
Kahin Nicha Na Dikhaye Tujhe Shajra Tera
Haq Say Bad Ho Kay Zamanay Ka Bhala Banta Hai
Aray Mein Khoob Samajhta Hoon Mu’ama Tera
Sagay Darr Qher Say Dekhay To Bikhar’ta Hai Abhi
Band Bande Badan Aie Rub e Duniya Tera
Arz Aaqa Say Karoon Arz Kay Teri Hai Panah
Banda Majboor Hai Khatir Pay Hai Kabza Tera
Hukm Nafiz Hai Tera Khama Tera Saif Teri
Dam Mein Jo Chahay Karay Door Hai Shaha Tera
Jis Ko Lalkar Day Aata Ho To Ulta Phir Jaye
Jis Ko Chumkar Lay Har Phir Kay Woh Tera Tera
Kunjiyan Dil Ki Khuda Nay Tujhay Dein Aesi Ker
Ke Yeh Seena Ho Muhabbat Ka Khazeena Tera
Dil Pah Kundah Ho Tera Naam Ke Woh Duzd e Rajeem
Ultay Hi Paoon Phiray Dekh Kay Tugra Tera
Naz’a Mein, Gor Mein,Mizan Pay, Sarey Pul Pay Kahin
Na Chu’tay Haath Say Daman e Muallah Tera
Dhoop Mehshar Ki Woh Jaan Soz e Qiyamat Hai Magar
Mutmain Hoon Ke Meray Sar Pay Hai Pal’la Tera
Bohjat Uss Sar Ki Hai Jo Bah’jatul Asarar Mein Hai
Ke Falak War Muridoon Pe Hai Saya Tera
Aie Raza! Chisht Gham Ar Jumla Jahan Dushman e Tast
Karday Am Mamin Khud Kibala e Hajatay Ra