Pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se (salla llahu ‘alayhi wa sallam)
Aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se
Her aah gaye arsh pe ye aah ki kismat
Her ashk pe aik khuld hai her ashk ki qeemat
Tohfa ye mila hai sarkar-e-nabi se
Ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se
Darbare-nabi se
Bhaati nahi humdum mujhe jannat ki jawaani
Sunta nahi zahid us mein hooron ki kahani
Ulfat hai mujhe sayaa-e-deewar-e-nabi se
Ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se
Darbare-nabi se
Irfan ki kasak khulq ki mai sabr ka saagar
Kiya lutf mila kerta hai jo dete hein sarwar
Ye pooch le aake koi beemar-e-nabi se
Aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se
Darbar-e-nabi se
Pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se
Aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se
Darbar-e-nabi se
Pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se
Aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se
Darbar-e-nabi se
COMMENTS