Bahar e Jaan Fiza Tum Ho

Bahar e Jaan fiza tum ho Nasim e Gulsita tum ho
Bahar e Baagh e Rizwan tum se hai zaibe jina tum ho
Khuda ki saltanut ka do jaha me kaun dulha hai
Tumhi tum ho tumhi tum ho yaha tum ho waha tum ho

Haqiqat se tumhari juz Khuda aur kaun waakif hai
Kahe toh kya kahe koi Chuni tum ho Chuna tum ho

Kuja hum khaak uftada kuja tum aay shahe bala
Agar Misl e Zamin hum hai toh Misl e Asma tum ho

Mai bhula aap ki rif’at se nisbat hi hame kya hai
Woh kehne bhar ki nisbat thi kaha hum hai kaha tum ho

Hame umeed hai Rauz e Qayamat unki rehmat se
Ke farmaye idhar aao Naa maayus az jina tum ho

Sitam karo siyah karo khata karo jafa karo
Hamare Daaman e Rehmat main aa jao kaha tum ho

Tumhare hote saate dard dukh kis se kahu pyare
Shafi e aasiyan tum ho wakeel e mujrima tum ho

Riyazat ke yahi din hai burhape me kaha himmat
Joh kuch karna hai abhi karlo abhi Noori jawan tum ho

Faqat nisbat ka jaise hu haqiqi Noori ho jau
Mujhe jo dekhe kahe uthe miya Noori miya tum ho

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

0 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x