Baray Latif Hai Nazuk Se Ghar Mein Rehte Hain


Baray Latif Hai Nazuk Se Ghar Mein Rehte Hain
Mere Huzoor Meri Chasm-e-tar me Rehte Hai..

Hamare Dil me Hamare Jigar me Rehte Hai,
Unhika Ghar hai Ye Apne hi Ghar Me Rehte Hai.

Bade Latif Hai Naazook se Ghar me Rehte Hai
Mere Huzoor Meri Chasm-e-tar me Rehte Hai..

Maqam Unka Na Farsh-e-Zami Na Arsh-e-Baree,
Voh Apne Chahnewalo Ke Dil Me Rehte Hai

Khuda Ke Noor Ko Apni Tarah Samajhte Hai,
Yeh Kon Log Hai, Kiske Asar Me Rehte Hai.

Yaqeenwale Kahan se Chale Kahan Pohche,
Jo Ahl-e-Shak Hai Agar me Magar Me Rehte Hai.

Ye Vaqiaa Hai Libas-e-Bashar bhi Dhoka Hai,
Ye Moaziza Hai Libas-e-Bashar Me Rehte Hai.

Voh Aur hi Tha Jo Koshain Par Nazar Aaya,
Malaq to Apni Had-o-Baal-o-par me Rehte Hai.

Nabi ki Yaad Yun “Akhtar” Jo Subh-o-Sham Karen,
Kahi bhi Rehte Hai Unke Nagar Me Rehte Hai.

Bade Latif Hai Naazook se Ghar me Rehte Hai
Mere Huzoor Meri Chasm-e-tar me Rehte Hai..

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

0 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x