Hai Paak Rutba Fikr Sey Uss Bey Niyaaz Ka
Kuch Dakhal ‘Aqal Ka Hai Na Kaam Imtiyaaz Ka
Lab Band Aur Dil Mey Wo Jalwey Bharey Huwey
Allah Rey Jigar Terey Aagaah Raaz Ka
‘Ash Aagayaa Kaleem Sey Mushtaq Deed Ko
Jalwah Bhi Bey Niyaaz Hai Uss Bey Niyaaz Ka
Har Shai Sey ‘Ayaan Merey Saane’ Ki San’atain
‘Aalam Sab Aa-inoon Mey Hai Aa-ina Saaz Ka
Aflaak Waariz Sab Terey Farmaan Pazeer Hain
Haakim Hain Tu Jahan Key Nisheb–o–Faraaz Hain
Is Bey Kasee Mey Dil Ko Merey Teyk Lag Gayee
Shehr–o–Sunaa Jo Rehmat Beykas Nawaaz Ka
Maanand Sham’a Teyri Taraf Lau Lagee Rahey
Dey Lutf Meyri Jaan Ko Soz-o-Gudaz Ka
Tu Bey Hisaab Bakhsh Key Hain Bey Hisaab Jurm
Deyta Hoon Waasta Tujhey Shah e Hijaaz Ka
Bandey Pey Terey Nafs-e-La’een Ho Gaya Muheet Allah Kar Ilaaj Meyri Hirs-o-Aaz Ka
Kyun Kar Na Merey Kaam Baney Ghaib Sey Hasan
Banda Bhi Hoon Kaisey Barey Kaar Saaz Ka
By: Ustaad e Zaman, Hazrat ‘Allama Hasan Raza Khan ‘Alaihir Rahmah
COMMENTS