Haqiqat Mein Woh Lutfe Zindagi Paya Nahin Kartey
Jo Yade Mustafa Se Dilko Behlaya Nahin Kartey
1. Zuban Par Shikwae Ranjo Alam Laya Nahin Kartey
2. Nabi Ke Naam Leva Gham Se Ghabhraya Nahin Kartey
Haqiqat Mein
3. Yeh Darbare Muhammad Hai Yahan Milta Hai Bemangey
4. Arey Nadan Yahan Daman Ko Phailaya Nahin Kartey
Haqiqat Mein
5. Arey O Na Samajh Qurban Ho Ja Unke Roze Par
6. Yeh Lamhey Zindagi Mein Baarbaar Aya Nahin Kartey
Haqiqat Mein
7. Yeh Darbare Risalat Hai Yahan Apnon Ka Kya Kehna
8. Yahan Se Hath Khali Ghair Bhi Jaya Nahin Kartey
Haqiqat Mein
9. Muhammad Mustafa Ke Baagh Ke Sab Phool Aisey Hain
10. Jo Bin Pani Ke Tar Rehte Hain Murjhaya Nahin Kartey
Haqiqat Mein
11. Jo Unke Damne Aqdas Se Wabasta Hain Aey Hamid
12. Kisi Ke Samne Woh Hath Phailaya Nahin Kartey
Haqiqat Mein
Author: Janaab Hamid Ali Khan Barelvi
Meanings:
Line 11: Wabasta = Affiliated To
Line 11: Damne Aqdas Se Wabasta Hai = Jin Hon Ne Unke Daman Ko Pakra Hua Taalluq
COMMENTS