Tumhi Farsh Se Arsh Par Jaane Wale

Tumhi farsh se arsh par jaane wale
Tumhi ne’mate Rab se dilwane wale
Tere aage sab haath phailaane wale
Chamak Tujh se paate hai sab paane wale
Mera dil bhi chamka de Chamkane Wale

Hai be misl tera karam jaane izzat
Ghulaamo pe har dam hai teri inaayat
Wo gulshan ho sehra ho darya ki parvat
Barasta nahi dekh kar abre rehmat
Bado par bhi barsaade Barsaane Wale

Sawaari se apni tu jis dum utarna
Madine ke zaair zara tu sambhalna
Yaha tha mere Mustafa ka guzarna
Haram ki zameen aur qadam rakh ke chalna
Are sar ka mauka hai o jaane wale

Aye Mushkil kusha kije mushkil kushaayi
Tadap kar jo maine sada ye lagaayi
To Aaqa ki rehmat ye paigaam laayi
Ab aayi shafa’at ki sa’aat ab aayi
Zara chain le mere Ghabraane Wale

Ghulaame Nabi Khuld me jaa basega
Jahannam me najdi munafiq jalega
Jo Aashiq hai wo to hamesha kahega
Rahe ga yoon hi Un ka charcha rahega
Pade khaak ho jaaye jal jaane wale

Kabhi Ghauso Khwaaja ke naaro se uljhe
Kabhi Auliya ke mazaaro se uljhe
Duroodo se uljhe Salaamo se uljhe
Sahiul aqeeda Imaamo se uljhe
Ye kha kar niyaaze niyaazo se uljhe
Tera khaye Tere ghulaamo se uljhe
Hai munkir ajab khane gurrane wale

Ye najdi munafiq ye ganda hai Wallah
Galaazat ka balke pulanda hai Wallah
Jahannam me naam us ka kunda hai Wallah
Jo murda kahe Tum ko woh murda hai Wallah
Tu zinda hain Wallah Tu zinda hai Wallah
Mere chashme aalam se chup jaane Wale

Sada geet Unki muhabbat ke gaana
Jigar munkiron ke yoon hi tum jalaana
Ubaide Raza unse dhoka na khana
Raza ka ye paigaam na bhool jaana
Raza nafs dushman hai dum me na aana
Kaha tum ne dekhe hai chandrane wale

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x