Owais Raza Qadri (اویس رضا قادری)
Har Waqt Tasawwur Mein, Madiney Ki Gali Hai
Ab Darbadari Hai Na, Gharibul Watani Hai
1. Woh Shamme Haram Jis Se, Munawwar Hai Madinah
2. Kaa’Bey Ki Qasam Ronaqe, Kaa’Bah Bhi Wohi Hai
Har Waqt Tasawwur Mein
3. Us Shahr Mein Bik Jate Hain, Khud Aake Kharidar
4. Yeh Misr Ka Bazaar Nahin, Shahre Nabi Hai
Har Waqt Tasawwur Mein
5. Nazaron Ko Jhukae Huey, Khamosh Guzar Jao
6. Betaab Nigahi Bhi Yahan, Be Adabi Hai
Har Waqt Tasawwur Mein
7. Is Arze Muqaddas Pe, Zara Dekh Ke Chalna
8. Aey Qafile Walon Yeh, Madiney Ki Gali Hai
Har Waqt Tasawwur Mein
9. Haqq Iska Ada Sirf, Jabinon Se Na Hoga
10. Aey Sajda Guzaro Yeh, Dare Mustafawi Hai
Har Waqt Tasawwur Mein
11. Iqbal Mayn Kis Munh Se, Karun Madhey Muhammad
12. Munh Mera Bohat Chota Hai, Aur Baat Bari Hai
Har Waqt Tasawwur Mein
Author: Janaab Iqbal
Meaning:
Line 7: Arze Muqaddas = Paak Zamin
COMMENTS