Kaabe ki ronak Kaabe ka manzar, (2) Allah-O-Akbar Allah-O-Akbar Dekhu to dekhe jau barabar, (2)
Allah-O-Akbar Allah-O-Akbar (2)
Hairat se khud ko kabhi dekhta hu, (2) Aur dekhta hu kabhi main haram ko, Hasrat se khudko kabhi dekhta hu, Aur dekhta hu kabhi main haram ko, Laya kahan mujhko mera muqaddar, (2)
Allah-O-Akbar Allah-O-Akbar
Hamd-E-Khuda se tarr hai zabanein, (2) Kaano me rass gholti hai azanein, Hamd-E-Khuda se tarr hai zabanein, Kaano me rass gholti hai azanein, Bus ek sada aa rahi hai barabar, (2)
Allah-O-Akbar Allah-O-Akbar
Mangi hai maine jitni duaein, (2) Manzoor hongi, maqbool hongi, Mangi hai maine jitni duaein, Manzoor hongi, maqbool hongi, Kyuki mizab-e-rehbar hai mere sar par, (2)
Allah-O-Akbar Allah-O-Akbar
Kaabe ki ronak Kaabe ka manzar,
Allah-O-Akbar Allah-O-Akbar
Yaad aagayi jab apni khataein, (2) Ashkon me dhalne lagi iltijaein, Yaad aagayi jab apni khataein, Ashkon me dhalne lagi iltijaein, Roya gilafe Kaaba pakkar kar, (2) Allah-O-Akbar Allah-O-Akbar Roya gilafe Kaaba pakkar kar,
Allah-O-Akbar Allah-O-Akbar
Katre ko jaise samandar samete, (2) Mujhko mata apne andar samete, Katre ko jaise samandar samete, Mujhko mata apne andar samete, Jaise samete Agosh-E-Madar, (2) Allah-O-Akbar Allah-O-Akbar Dekhu to dekhe jau barabar,
Allah-O-Akbar Allah-O-Akbar
Dekha Safa bhi, Marwa bhi dekha, (2) Rab ke karam ka jalwa bhi dekha Dekha Safa aur, Marwa bhi dekha, Rab ke karam ka jalwa bhi dekha Dekha, (2) Dekha rawa ek saron ka samandar, (2)
Allah-O-Akbar Allah-O-Akbar
Dekhu to dekhe jau barabar,
Allah-O-Akbar Allah-O-Akbar
Tere karam ki kya baat Maula, Tere haram ki kya baat Maula, Taa umrae karde aana muqaddar ,(2)
Allah-O-Akbar Allah-O-Akbar
Kaabe ke upar se jaate nahi hai, (2) Kisko sabak yeh sikhate nahi hai, Kaabe ke upar se jaate nahi hai, Kisko sabak yeh sikhate nahi hai, Kitne moadab hai yeh kabuttar, (2)
Allah-O-Akbar Allah-O-Akbar
Kaabe ki ronak Kaabe ka manzar,
Allah-O-Akbar Allah-O-Akbar
Bheja hai jannat se tujhko Khuda ne, (2) Chuma hai tujh ko khud Mustafa ne, Ae Hajr-E-Aswad tera muqaddar, (2) Allah-O-Akbar Allah-O-Akbar Ae Hajr-E-Aswad tera muqaddar,
Allah-O-Akbar Allah-O-Akbar
Maula sabhi ore kya chata hai, (2) Bus magferat ki ataa chata hai, Bakshish ke talib par apna karam kar, (2) Allah-O-
Akbar Allah-O-Akbar
Bakshish ke talib par apna karam kar,
Allah-O-Akbar Allah-O-Akbar
COMMENTS