Lahad Me Woh Surat Dikhayi Gayi Hai
Meri Soi Qismat Jagayee Gayi Hai
Nahi Tha Kisi Ko Jo Manzar Pay Lana
To Kyun Bazm Aalam Sajai Gayi Hai
Saba Se Nah Ki Jaye Kyun Kar Mohabbat
Bohat Unn Ke Koochy Mein Aayi Gayi Hai
Wahan Thi Fida Misar Mein Ik Zulekha
Yahan Sadqy Saari Khudai Gayi Hai
Yeh Kya Kam Sanad Hai Meri Mughfirat Ki
Ke Us Dar Se Maiyat Uthai Gayi Hai
Naazar Inse Tuusdaan Ladai Gayi Hai
Samj Buj Kar Chot Khayii Gayii Hai.
Gunehgaar Pe Raehmat Ki Daulat
Saare Shar Khul Kar Lutai Gayi Hai
Sharaab Tahoor Unn Ke Dast Karam Se
Sar-e Hoz Kusar Pilayi Gayi Hai
Teh Khaak Ho Shaad Kyun Kar Nah Ummat
Nabi Ki Ziyarat Karai Gayi Hai
Kisay Taab Nzarah Jaali Ke Agay
Nazar Ahtraman Jhukai Gayi Hai
Naseer Ab Chalo Khabar Se Tum Bhi Uth Kar
Unhen Dekhnay Ko Khudai Gayi Hai
#Naatlyrics #Islam #Naat #Islamicquotes
COMMENTS