Madiney Se Dilkash Hawa Aa Rahi Hai
Dare Khwaja Ko Khub Maheka Rahi Hai
1. Kashish Hai Ajab Tere Roze Ki Khwaja
2. Jabine Aqeedat Khinchi Ja Rahi Hai
Madiney Se
3. Shabo Roz Hoti Hai Qur’An Khwani
4. Kahin Naate Sarwar Parhi Ja Rahi Hai
Madiney Se
5. Hai Ajmer Mein Bhi Madiney Ka Jalwa
6. Wahin Se Yahan Raushni Aa Rahi Hai
Madiney Se
7. Gharibon Ki Saf Mein Shahe Do Alam
8. Yahan Sab Ki Jholi Bhari Ja Rahi Hai
Madiney Se
9. Hai Khwaja Ke Sab Aur Sab Ke Hai Khwaja
10. Ke Makhluq Dauri Chali Aa Rahi Hai
Madiney Se
11. Shahenshahe Hindustan Phir Bula Lein
12. Judai To Kausar Ko Tarpa Rahi Hai
Madiney Se
Author: Janaab Kausar
Meaninigs:
Main Line: Dilkash = Dilko Khinch Ne Wali
Line 1: Kashish = Khinch Na
Line 1: Ajab = In This Context It Means Attraction
Line 3: Shab = Raat
Manqabat Dedicated To Khwaja Gharib Nawaaz, Hazrat Moinuddin Chishti – Ajmeri (Ra).
COMMENTS