Mere Malik Mere Aaqa

Mere Malik Mere Aaqa Ae Mere Parwar Digar
Apne Bando Se Ilahi Kis Qadar Hai Tujhko Pyar

Tu Hame Hai Yaad Rakhta Garche Hai Ghafil Rahen
Teri Janib Se Hamesha Nematon Ki Hai Bahaar

Khudghraz Ham Beamal Aur Gharq-E-Isyan Hain Magar
Tu Asi-Ul-Maghfirat Hai Teri Rahmat Bekenan

Main Bhi Ek Ghaflat Ka Mara Tere Un Bandon Me Hun
Jinpe Hai Teri Inayat Behisab-O-Beshumar

Teri Sattari Hai Warna Muh Kise Dikhla Sakun
Daudta Rahta Hun Apni Taubah Me Bar Bar

Nafs-O-Shaitan Dono Mil Kar Hain Mere Peechhe Pade
Hirs Aur Tool-E-Amal Ne Kar Ke Rakha Nabakar

Fazl Tera Gar Mere Aqwaal Me Shamil Na Ho
Ho Rahunga Phir To Maula Main Tabahi Ka Shikar

Phir Se Taubah Kar Raha Hun Teri Hi Taufiq Se
Apni Badamaliyon Par Hun Bahut Main Sharmsar

Ghar Tera Ab Chhor Kar Jaaun Kahan Main Ae Kareem
Malja-O-Manja-O-Mahwa Hai Tu Hi Ae Kirdgan

Teri Rahmat Le Gayi Sabqat Ghazab Par Ae Raheem
Allah Allah Kaisi Hai La Taqnatu Teri Pukar

Qalb-E-Insan Hai Bhi Ungliyon Ke Darmiyan
Mere Dil Ko Haq Pe Yarab Rakh Hamesha Barqarar

Housla Aisa Ata Kar Mujhko Ae Rabb-Ul-Ula
Sunnat-E-Kahirulwaran Par Jaan Ho Meri Nisar

Tera Kehlata Hun Ya Rab Main To Bachpan Se Wali
Kaash Ban Jaaun Main Akhir Tera Banda Kaamgaar

Mere Malik Mere Aaqa Ae Mere Parwardigar
Apne Bando Se Ilahi Kia Qadar Hai Tujhko Pyar

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

0 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x