Mere Sarkar Madiney Mein Bulatay Rehna
Gham e Duniya Gham e ‘Uqba Sey Bachatey Rehna
Koi Mushkil Nahi Aisee Jo Na Taali Tum Ney
Merey Daata Meyri Bigri Ko Banaatey Rehna
Hashr Ki Pyaas Mujhey Jab Key Pareyshan Kardey
Jaam e Kauthar Ka Mujhey Aap Pilaatey Rehna
Kaash Jalwah Merey Aaqa Jo Dikhaayain Mujh Ko
Mey To Kehdunga Isey Aap Dikhaatey Rehna
Koi Neyki Nahi Daaman Mey Merey Ya Madani
Mujh Siyaah Kaar Ko Sarkaar Nibhaatey Rehna
Hai Masaa-ib Mey Ghiree Aap Ki Ummat Aaqa
Zulm-o-Zaalim Sey Isey Aap Bachaatey Rehna
Aaj Phir Sey Mujhey Taibah Ka Banaaya Zaa-ir
Meyri Qismat Ko Isee Tarha Jagaatey Rehna
Dar Pey Sarkaar Key Haazir Hain Gulam e Ajami
Laaj Is Ki Merey Mukhtaar Bachaatey Rehna
Aaj Taibah Sey Chala Hoon Mein Watan Ki Jaanib
Apney Dar Par Merey Mukhtar Bulaatey Rehna
Wehshat-e-Qabr Sey Ghabraaye Jo Shakir Aaqa
Thapkiyaan Deykey Usey Aap Sulaatey Rehna
COMMENTS