Book: 100 Mashoor Naatain (۱۰۰ مشہور نعتیں)
1. Na Kahin Se Dur Hain Manzilein, Na Koi Qarib Ki Baat Hai
2. Jis Se Chahey Usko Nawaaz Dey, Yeh Dare Habib Ki Baat Hai
Na Kahin Se
3. Jis Se Chaha Dar Pe Bula Liya, Jis Se Chaha Apna Bana Liya
4. Yeh Bare Karam Ke Hain Faisley, Yeh Bare Nasib Ki Baat Hai
Na Kahin Se
5. Woh Khuda Nahin Ba Khuda Nahin, Woh Magar Khuda Se Juda Nahin
6. Woh Hain Kya Magar Woh Hai Kya Nahin, Yeh Muhib Habib Ki Baat Hai
Na Kahin Se
7. Mayn Buron Se Lakh Bura Sahi, Magar Unsey Hai Mera Wasta
8. Meri Laaj Rakhley Mere Khuda, Yeh Tere Habib Ki Baat Hai
Na Kahin Se
9. Tujhe Aey Munawwarey Be Nava, Dare Shah Se, Chahiye Aur Kya
10. Jo Nasib Ho Kabhi Samna, To Bare Nasib Ki Baat Hai
Na Kahin Se
Author: Janaab Munawwar Badayuni
Meanings:
Line 9: Be Nava = Teri Awaaz Kuch Bhi Nahin
Line 10: Nasib Ho Kabhi Samna = Unke Samne Aajizi
COMMENTS