Noori Mehfil Pe Chadar Tani Noor Ki
Noor Phela Huwa Aaj Ki Raat He
Chandni Mein Hen Dubay Huwey Do Jahan
Kon Jalwa Numa Aaj Ki Raat He
Farsh Per Dhoom He Arsh Per Dhoom He
Badnasibi He Uski Jo Mehroom He
Phir Milay Gi Yeh Shab Kisko Maloom He
Aam Lutfay Khuda Aaj Ki Raat He
Abray Rehmat He Mehfil Pay Chaye Huwey
Aasman Say Malaik Hen Aaye Huey
Khud Muhammed Hen Tashreef Laye Huwey
Kis Kadar Jaan Fiza Aaj Ki Raat He
Maang Lo Mang Lo Chashme Tar Mang Lo
Dard E Dil Aur Husn E Nazar Maang Lo
Kamli Wale Ki Nagri Mein Ghar Maang Lo
Mangnay Ka Maza Aaj Ki Raat He
Momino Aaj Ganj E Sakha Lutlo
Lutlo Aie Marizo Shifa Lootlo
Asiyo Rehmat E Mustafa Lootlo
Babay Rehmat Khula Aaj Ki Raat He
Khoob Honay Do Ashkoon Ki Barsat Ko
Do Salami Muhammed Ki Barat Ko
Choom Lo Chum Lo Aaj Ki Raat Ko
Shab Qadar Kay Guman Aaj Ki Raat He
Waqt Laye Khuda Sabh Madinay Chalein
Lutnay Rehmatoon Kay Khazinay Chalein
Sabh Ki Manzil Ki Janib Safinay Chalein
Meri Sa’aim Dua Aaj Ki Raat He
COMMENTS