Tarab Angaiz Hai Rahat Fiza Hai Kaif Samaan Hai

Tarab Angaiz Hai Rahat Fiza Hai Kaif Samaan Hai
Yeh Koyee Gulistaan Hai Yaa Madinah Ka Bayabaan Hai

Meri Jaanib Nigaah E Lutf Sardaar E Rasoolaan Hai
Muqaddar Par Main Naazaan Hoon Muqaddar Mujh Pe Nazaan Hai

Yeh Maana Baagh E Rizwaan Rooh Parwar Kaif Saamaan Hai
Madinah Ka Gulistaan Phir Madinah Ka Gulistaan Hai

Mujhe Dunya Main Koi Gham Na ‘uqbaa Main Pareshaani
Yahan Bhi Un Ke Damaan Hai Wahan Bhi Un Ka Damaan Hai

Nabi Ki Yaad Hai Kaafi Sahaara Donon Aalam Main
Yahan Wajh E Sukoon E Dil Wahan Bakhshish Ka Samaan Hai

Mujhe Parwaa Nahin Mowjhain Uthain Toofaan Aa Jaaye
Nagehbaan E Do Aalam Meri Kashti Ka Nagehbaan Hai

Nabiyon Main Kuch Aisee Shaan Hai Sarkaare E Waala Ki
Keh Agle Anbiyaa Ko Ummati Bannay Ka Armaan Hai

Jo Un Ke Hain Unhain Naar E Jahannum Choo Nahin Sakti
Khuda Ke Khaas Bandon Par Khuda Ka Khaas Ihsaan Hai

Nahin Fel E Abas Sarkaar E Taybah Ki Sana Khwaani
Jo Wo Tehseen Farmaa Dain To Yeh Bakhshish Ka Samaan Hai.

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x