Aakhri Lamhon Mein Kya Shehr O Biyabaan Dekhun,
Ab Toh Bas Ek Hi Dhun Hai Ke Madeena Dekhun.
Roo Ba Roo Rauza E Sarkar Ke Ho Mehfil E Naat,
Kaash Taiba Haseen Ayesa Zamana Dekhun.
Saail E Dar Ko Shahinsha E Zamana Kar Dein,
Shah E Batha Ka Wo Andaze Shaahana Dekhun.
Sajda E Sar Main Karun Ka’abe Ki Azmat Ke Liye,
Sajda E Dil Ke Liye Ka’abe Ka Ka’aba Dekhun.
Unke Darbaar Mein Kuch Hamko Mile Ayesi Ataa,
Auj Pe Apne Muqaddar Ka Sitara Dekhun.
Yaa Nabi Kardo Mere Dil Ko Sabhi Zang Se Paak,
Wasl Ki Raat Ko Main Dil Ka Chamakna Dekhun.
Sadqa E Aale Nabi Hamko Mile Aaj Ki Shab,
Gulshan E Zahra Ka Rangeen Nazara Dekhun.
Maal O Zarr Paas Nahin Aur Na Parr Hain Mere,
Bada Mushkil Hai Ke Main Jaake Madina Dekhun.
Sabir E Chishty Tadap Dil Mein Yun Karle Paida,
Aankh Jo Band Karun Pyaara Madeena Dekhun.
Yun To Is Waqt Bhi Aankhon Mein Hai Rauza Unka,
Mere Aaqa Ka Haqeeqat Me Bulana Dekhun.
Wo Yaqeenan Mujhe Bulwainge Taiba Sabir,
Aur Wahin Shaan Se Main Jaan Ka Jaana Dekhun.
Kalaam: Sayyad Sabir Hussaini Chishty, Gulbarga Shareef.
COMMENTS