Aaqa Ko Pukar Bande Aaqa Ko Pukar

Aaqa Ko Pukar Bande Aaqa Ko Pukar
inshaallah ho jaega tera bera paar
aaka ko pukar bande……………….

unke hath me cool kunji hai
rab ne unhe mukhtar kiya
hum ko unka mangta banaya
or unhe sarkar kiya
jo sarkar ke dar ka gada hai
wo khud hai mukhtar
aaka ko pukar bande………………..

kya kehana darbare nabi ka
uski shaan hi aali hai
har giz na mehrum wo lota
us dar ka jo sawali hai
aao chale ab suae madina
chhor ke sab dharbar
aaka ko pukar bande………………..

aala hazarat ne yaro ye
sabak hame sikhlaya hai
jo gustakhe khuda wa nabi hai
apna nahi wo paraya hai
ha aise gustakho par
maula ki hai fitkar
aaka ko pukar bande………………..

kyu gamgin hai tu ae ‘sayyid’
dar par wo bulwaenge
ranjo gam sab dur karege
soae bhug jagaenge
or bhi koy unke siwa hai
dukhiyo ka gam-khwar
aaka ko pukar bande………………..

apni to pahechan yahi hai
apni to hai shaan yahi
daman mai kuchh or nahi hai
dil mai hai armaan yahi
itni parhu me unki naate
razi ho sarkar
aaka ko pukar bande………………..

yade nabi me tu ae ‘razwi’
unki midahat karta ja
deewaro ka dil bhar aae
zom ke naate parhata ja
jald madine jaaega tu
lagate hai aasar
aaka ko pukar bande………………..

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x