Firaq e Madina Mein Dil Ghamzada Hai
Jigar Tukray Tukray Hua Ja Raha Hai
Chura Kar Madinah Mera Chain Cheena
Bata Nafs-E-Zalim Tujhe Kia Mila Hai
Meri Aankh Se Cheena Taiba Ka Manzar
Yeh Kis Baat Ka Tu Ne Badla Lia Hai
Sikhaya Hai Phir Yeh Muqaddar Ne Mujh Ko
Na Shikwa Kisi Se Na Koi Gila Hai
Rahoon Bus Isi Ghum Mein Bay Chain Sarwar
Muqaddar Ne Jo Daagh-E-Furqat Dia Hai
Muqaddar Se Jis Ja Rahoon Per Shaha Ho
Nazar Mein Madinah Meri Iltija Hai
Mere Dil Kay Armaan Rahe Dil Hi Dil Mein
Yehi Ghum Mere Dil Ko Tarpa Raha Hai
Sukoon Tha Mujhe Koocha-E-Mustafa Mein
Watan Mein Mera Sub Sukoon Lut Gaya Hai
Na Dunya Ki Fikrain Na Ghum Tha Wahan Per
Yahan Aa Kar Dil Aafaton Mein Phansa Hai
Na Chootay Mere Haath Se Un Ka Daaman
Jiyun Jab Talak Ya Khuda Yeh Dua Hai
Mein Lafzon Mein Kaise Bata Doon Kisi Ko
Kay Kia Kia Mujhe Aaj Yaad Aa Raha Hai
Paharon Ki Dilkash Sitaron Kay Jalway
Woh Manzar Mujhe Aaj Yaad Aa Raha Hai
Unhe Choomna Haath Lehra Kay Paiham
Woh Lamha Mujhe Aaj Yaad Aa Raha Hai
Aqeedat Se Khaak-E-Madinah Utha Kar
Use Choomna Aaj Yaad Aa Raha Hai
Kabhi Deed-E-Sarwar Ki Hasrat Mein Minbar
Ko Takna Woh Chup Chup Kay Yaad Aa Raha Hai
Haseeno Jamil Piyaari Woh Jannat Ki Kiyari
Wahan Baithna Aaj Yaad Aa Raha Hai
Kabhi Khainch Kar Subz Gumbad Ka Manzar
Jhukana Nazar Aaj Yaad Aa Raha Hai
COMMENTS