Khoob Naam E Muhammad Hai Aie Momino

Khoob Naam E Muhammad Hai Aie Momino
Jis Mein Nuqta Bhi Rab Ko Gawarah Nahin.
Jo Nabi Ki Muhabbat Say Moun Phair Le
Dono Aalam Mein Uska Guzara Nahin.

Ukay Jalwoon Say Roshan Hai Behr O Haram
Kis Jagah Per Nahin Hai Nabi Ka Karam
Aarsh Say Toor Tak, Toor Say Door Tak
Yeh Woh Darya Hai Jiska Kinara Nahin.

Inki Muhabbat Say Jo Moun Phairay
Dono Jahan Mein Uska Guzarah Nahin.

Zulm Pe Zulm Seh Ker Yeh Bolay Bilal
Zalimo Yeh Ghalat Hai Tumhara Khiyal
Daman E Mustafa Mein Kyun Chor Doon
Itna Kamzor Imaan Hamara Nahin.

Dekho Quran Mein Hai Ja Baja Momino
Rab Ne Kaisay Nabi Ko Mukhatib Kiya
Kabhi Yaseen Kaha Kabhi Taha Kaha
Naam Lay Ker Khuda Nay Pukara Nahin.

Nisbat E Mustafa Bhi Bari Cheez Hai
Jiski Nisbat Nahin Uski Bakhshish Nahin
Khud Khuda Nay Nabi Say Yeh Farma Diya
Jo Tumhara Nahin Woh Hamara Nahin.

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

0 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x