Aakhri Lamhon Mein Kya Shehr O Biyabaan Dekhun

Aakhri Lamhon Mein Kya Shehr O Biyabaan Dekhun,
Ab Toh Bas Ek Hi Dhun Hai Ke Madeena Dekhun.

Roo Ba Roo Rauza E Sarkar Ke Ho Mehfil E Naat,
Kaash Taiba Haseen Ayesa Zamana Dekhun.

Saail E Dar Ko Shahinsha E Zamana Kar Dein,
Shah E Batha Ka Wo Andaze Shaahana Dekhun.

Sajda E Sar Main Karun Ka’abe Ki Azmat Ke Liye,
Sajda E Dil Ke Liye Ka’abe Ka Ka’aba Dekhun.

Unke Darbaar Mein Kuch Hamko Mile Ayesi Ataa,
Auj Pe Apne Muqaddar Ka Sitara Dekhun.

Yaa Nabi Kardo Mere Dil Ko Sabhi Zang Se Paak,
Wasl Ki Raat Ko Main Dil Ka Chamakna Dekhun.

Sadqa E Aale Nabi Hamko Mile Aaj Ki Shab,
Gulshan E Zahra Ka Rangeen Nazara Dekhun.

Maal O Zarr Paas Nahin Aur Na Parr Hain Mere,
Bada Mushkil Hai Ke Main Jaake Madina Dekhun.

Sabir E Chishty Tadap Dil Mein Yun Karle Paida,
Aankh Jo Band Karun Pyaara Madeena Dekhun.

Yun To Is Waqt Bhi Aankhon Mein Hai Rauza Unka,
Mere Aaqa Ka Haqeeqat Me Bulana Dekhun.

Wo Yaqeenan Mujhe Bulwainge Taiba Sabir,
Aur Wahin Shaan Se Main Jaan Ka Jaana Dekhun.

Kalaam: Sayyad Sabir Hussaini Chishty, Gulbarga Shareef.


More Naat Lyrics

 1. Arshe Haq Hai Masnade Rifat Rasoolullah Ki
 2. Afzal Hai Mursalon Mein Huzoor Ki
 3. Aaqa
 4. Ajab Rang Par Hai Bahare Madinah
 5. Aaj Ki Raat Ziyaon Ki Hai Baraat Ki Raat
 6. Agar Aey Naseem e Sahar Tera
 7. Aa Jaye Bulawa Mujhe Aaqa Tere Dar Say
 8. Ae Saba Mustafa Se Keh Dena
 9. Ajab Rang Par Hai Bahar e Madina
 10. Ankhon Ka Tara Naam e Muhammad
 11. Aanay Walo Yeh To Batao
 12. Aai Naseem e Ku e Muhammad
 13. Aa Gayi Mustafa Ki Sawari
 14. Aey Meri Masoom Shehzadi Janabe Sayyadah
 15. Aap Ki Naatain Main Likh Likh Kar Sunaon Aap Ko
 16. As Subuhu Bada Min Tal’ati Hee
 17. Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin
 18. Aye Bayaban e Arab Teri Baharon ko Salam
 19. Aaqa Ke Ghulamoon Ko Ab Eid Manane Do
 20. Aa Kuch Suna De Ishq Kay Bolon Mein Ae Raza

Leave a Comment