Mufti Akhtar Raza Khan (مفتی اختر رضا خان)
Aaj Ki Raat Ziyaon Ki Hai Baraat Ki Raat
Fazl E Naushaah E Do Aalam Kay Bayanaat Ki Raat
Shab E Me’raj Woh Awhaa Ke Isharaat Ki Raat
Kaun Samjhaye Woh Kaisi Thi Munajaat Ki Raat
Chayi Rehti Hain Khayaloon Mein Tumhari Zul’fein
Koyi Mawsam Ho Yahaan Rehti Hai Barsaat Ki Raat
Rind Peetay Hain Teri Zulf Kay Saaye Mein Sada
Koi Mawsam Ho Yahaan Rehti Hai Barsaat Ki Raat
Rukh E Tabaan E Nabi Zulf E Muambar Pay Fida
Roz E Taabindah Yeh Masti Bhari Barsaat Ki Raat
Dil Ka Har Daagh Chamakta Hai Qamar Ki Surat
Kitni Roshan Hai Rukh E Shah Kay Khayalaat Ki Raat
Har Shab E Hijr Lagi Rehti Hai Ashkoon Ki Jhari
Koi Mawsam Ho Yahaan Rehti Hai Barsaat Ki Raat
Jis Ki Tanhayi Mein Woh Shamaye Shabistaani Ho
Rashk E Sad Bazm Hai Iss Rind Kharabaat Ki Raat
Bulbul E Baagh E Madina Ko Suna De Akhtar
Aaj Ki Shab Hai Farishtoon Say Mubahaat Ki Raat
COMMENTS