Anas Younus (انس یونس)
(Aap Ki Naatain Main Likh Likh Kar Sunaon Aap Ko
Kis tarah razi karon kaise manaon aap ko)…..2
Aap ko razi na kar paya to mar jaayon ga main
Choti choti kirchiyan ban kar bikhar jaaon ga main
Zindagi ka is tarah mujh ko maza kya aaye ga
Phir siyahi ke bhanwar mein doobta reh jaaye ga
(Wasta don main aap ko wasta aap ke hasnain ka
Yaar ghaar-e-sor ka kasim siddiqah-e-konain ka)……..2
Aap to dushman ke haq mein bhi dua karte rahe
Be wafa logon se bhi har dam wafa karte rahe
Aap to rehmat hi rehmat hain jahanon ke liye
Mere jaise be amal aur be thikanon ke liye
(Aap ka yeh roothna arz o sama ka roothna
Arsh ka sarey jahano ke Khuda ka roothna)……2
Aap ki naatein mein likh likh kar sunaon aap ko
Kis tarah razi karon kaise manaon aap ko
Aap ki nazron se jo girta hai marjata hai woh
Raakh ban kar apne kadmon mein bikhar jata hai woh
Is tarah to aadmi kudh aadmi aadmirehta nahi
Saheb e imaan kya insan bhi rehta nahi
(Kaise kaise dushmanon per reham khaya aap ne
Sag se ketne hi logon ko bachaya aapne)……….2
Apne juton apne saaye mein baitha dijye mujhe
Aap ka nacheez khadim hon mein dua dijye mujhe
Zindagi ki tez lehron mein na beh jayon kahin
Gird ban ker raastey hi mein na reh jaon kahin
(Aap ko khatoon e jannat aur ali ka wasta
Aap ko Farooq-o-Usman-e-Ghani ka wasta)……2
Aap ki naatein mein likh likh kar sunaon aap ko
Kis tarah razi karon kaise manaon aap ko
Zindagi ko aik buhat mushkil safar dar pesh hai
Aik mushkil imtehaan baar-e-digar darpaish hai
Sonch mein duaba hua hon soch mein hi qaid hon
Be basi ghere huye hain bebasi mein qaid hon
(Tootte hi jaate hain sare aasray jetne bhi hain
Be asar log hain chote bare jetne bhi hain)…2
Kis qadar ketna zaroori hai sahara aap ka
Meri qismat hi badal dega ishara aap ka
Log aksar shaahir e ashaab kehte hain mujhe
Unki khatir roz shab betab kehte hain mujhe
(Be amal hon maghfarat ka aik sahara hai zaroor
Aap ka har aik sahabi jaan se pyara hai zaroor)…2
Aap ki naatein mein likh likh kar sunaon aap ko
Kis tarah razi karon kaise manaon aap ko
Main ne mukhtas karli apne chashm e tar unke liye
Muztarib rehta hon mein sham o sehar unke liye
Mein na sarmad hon na majno hon na main mansoor hon
Unka saghir aur unka banda e mazdoor hon mein
(Meri khuwahish hai keh unki khoobiyan likhta rahoon
Shoq say main aasman ko aasman likhta rahoon)…2
Un ke sadqay aap mujh per meharbani kijye
Mere haal e zaar per aaqa tawajjah dijiye
Aap se rishta ghulami ka sada qaaim rahe
Khuwajgi aur bandagi ki yeh fiza qaim rahe
(Mere sar per mushkilon ka aasman girne ko hai
Zarra e nacheez per koh e girah girne ko hai)…2
Aap ki naatein mein likh likh kar sunaon aap ko
Kis tarah razi karon kaise manaon aap ko
Ghup andhere mein khara hoon ae hira ke aaftaab
Purza purza ho rahe hain mere khuashyon ki kitaab
Mere haq mein aapne khaliq se dua farmaiye
Aye mere aaqa karam ki inteha farmaiye
(Dekhte hain to mujhey be aaasra khetey hain log
Ehd e mazi ki koi bhooli sada kehte hain log)….2
Kis tarah rokon mein is toofan aur sailaab ko
Zehan se kaise nikalon khofnaak is khawab ko
Meri apni saans bhi ab to mere bas mein nahi
Thak gayi hain chalte chalte ab meri loh e jabeen
(Dekh kar dushwar raahein zindagi ghabra gayi
Mere ghar tak aatay aatay roshni ghabra gayi)…2
Sabz gumbad ki taraf uth thein hain nazrein baar baar
Aap ki rehmat ko deta hai yeh sada khaaksaar
Khaliq e aarzo samah se ab dua kijye huzoor
Meharbaan ho jaye mujh aasi per rabb e ghafoor
(Meri himmat se ziada hai pareshani ka bojh
Mein utha sakta nahi apne tan e faani ka bojh)…………2
Raah pe chalte huye ab daghmaga jata hon mein
Saans lene per bhi ab to larkhara jata hon mein
(Lab hila dijiye mere khaatir dua ke waste
Reham farma dijiye mujh par khuda ka waste)….2
Aap ki naatein mein likh likh ker sunaon aap ko
Kis tarah razi karon kaise manaon aap ko
COMMENTS