Aarize Shamso Qamar Se Bhi Hain Anwar Ediyaan

Aarize Shamso Qamar Se Bhi Hain Anwar Ediyaan
Arsh Ki Aankhon Ke Taare Hain Woh Khushtar Ediyaan

Jaa Bajaa Partau Figan Hain Aasmaan Par Ediyaan
Din Ko Hain Khursheed Shab Ko Maaho Akhtar Ediyaan

Najme Gardoo(N) To Nazar Aate Hain Chote Aur Woh Paau
Arsh Par Phir Kyun Na Ho(N) Mahsoos Laagar Ediyaan

Dab Ke Zere Paa Na Gunjaah Samane Ko Rahi
Ban Gaya Jalwa Kafe Paa Ka Ubhar Ka Ediyaan

Unka Mangta Paau Se Thukra De Woh Duniya Ka Taj
Jis Ki Khatir Mar Gaye Mun’am Ragad Kar Ediyaan

Do Qamar, Do Panjaye Khur, Do Sitaare, Dus Hilaal
Unke Talwe, Panje, Nakhun, Paaye Athar Ediyaan

Haaye Us Patthar Se Us Seene Ki Qismat Fodiye
Be Takalluf Jis Ke Dil Mein Yun Karen Ghar Ediyaan

Taaje Roohul Quds Ke Moti Jise Sajda Karen
Rakhti Hain Wallah Woh Paakeeza Gohar Ediyaan

Ek Thokar Me Uhud Ka Zalzala Jaata Raha
Rakhti Hain Kitna Waqaar Allahu Akbar Ediyaan

Charkh Par Chadte Hi Chandi Mein Siyahi Aa Gayi
Kar Chuki Hai Badr Ko Taksaal Bahar Ediyaan

Aye Raza Toofane Mehshar Ke Talatum Se Na Dar
Shaad Ho! Hain Kashtiye Ummat Ko Langar Ediyaan

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x