Hassan Raza Khan Bareilwi (حسن رضا خان بریلوی)
Aasma gar tere talwoon ka nazara karta
roz ek chand tasaddukh me utara karta
Chup gaya chand na ayi tere didar ki tab
or agar samne rehta to bhi sajda karta
Aah kya khub tha gar hazir e dar hota mai
unke saye ke tale chain se soya karta
Aank uthti to mai jhunjh lake palak si leta
dil bigad ta to mai ghabra ke sambhala karta
Kabhi khud apne taghaiyyur pe mai hairan hota
kabhi khud apne samajh ne ko na-samjha karta
Kabhi kehta ke ye kya bazm hai kaisi hai bahar
kabhi andaz e tajahul se mai taoba karta
Maut us din ko jo phir naam watan ka leta
khaak us sir pe jo is dar se kanara karta
Be khuda na kabhi sajde me sue-dar girta
janib e khibla kabhi chonk ke palta karta
Ye maze khoobi ye khismat se jo paye hote
sab se diwana tha gar khuld ki parwah karta
Aye hasan khasd e madina nahi rona hai yahi
or mai aap se kis baat ka shikwa karta
COMMENTS